P R AT H A M A D H YA K S H ATA K A S A N D E S H , S E P T E M B E R 2 0 1 4 Pradhaan Thomas S. Monson Dwara Kya Hum Tayyaar Hai? M ai jis ilaake mein kabhi rehta aur sewa pradaan karta tha, Girjaghar wahan ek murgi paalne ka pariyojan kar rahe the, jiske swanyeichcha karamchaari sthaaniye ward mein se the. Zyaadatar pariyojan theek se chalta tha, bishop ke bhandaar mein hazaaron taaze ande dete the aur kai sao paaund ki saaf ki hui murgiyaan bhi dete the. Haalaanki, kuch aosaron par, shahar ke swanyeichcha kisaan hone ka matlab tha haathon mein chaalein hi nahin par dil aur dimaag mein niraasha bhi aayenge. Jaise ki, mujhe hamesha yaad rahega woh samay jab humne Aaronic Purohiti ke jawaan purshon ko ikattha kiya tha pariyojan ko saaf karne ke liye. Hamara utsaahik aur chust dal murgi ke darbon ke aage khade hue aur ek furtile dhang se ghaas-fus aur kachraaon ko ukhaadne, batorne, aur jalaane lage. Aag ki raushni mein, humne ban-mein-sosaj (hotdog) khaaye aur ek dusre ko kaam achchi tarah se karne ke liye shaabaasi di. Haalaanki, sirf ek anarthkaari samasya thi. Shor aur aag se komal murgiyon ke 5,000 ki sankhya ko itna pareshaani hua ki zyaadatar murgiyon ke pakhne jhar gaye aur unhonne ande dena band kar diya. Uske baad humne ghaas-fus ko thoda rehne diya taaki murgiyaan zyaada ande de sakein. Girjaghar ka har ek sadasye jisne kabhi kisi zarooratmand ki madad ki hai kabhi nahin bhulta ya pachtaata apne anubhav par. Mehnat, bachat, atma-nirbharta, aur auron ke saath baatna hamare liye naye nahin hai. Hamein yaad rakhna chahiye ki sabse behtar bhandaar ka tarika hai Girjaghar ke har ek parivaar ko apne liye bhojan, kapde, aur, jahan upyukt ho, jiwan ke anye zarooraton ko rakhein. Prabhu ke bhandaar mein vishwaasi Girjaghar sadasyon ke samay, yogyata, gun, daya, samarpit karne waale saamagri, aur vitt ke saobhaagye shaamil hai. Yeh sansaadhan zarooratmandon ki sahayta karne ke liye bishop ko uplabdh hai. Hum Antim-din Santon se niwedan karte hai ki woh apne aayojan mein budhimaani barte, apne jiwan guzaarne mein sambhlein aur zyaada ya bekaar ke karja se bachein. Kayi aur log vitt-sambandhi kathinaaiyon ko jhel sakenge apne aarthik jiwanon mein agar unke paas bhojan aur kapde ka bhandaar ho aur woh bina karja ke rahe. Aaj hum dekhte hai ki kayi log is salaah ko ulte dhang se paalan karte hai: unke paas karja ka bhandaar hai aur woh bina bhojan ke hai. Mai Pratham Adhyakshta ke bol dohrata hoon jo unhonne kuch saal pehle kahe the: “Antim-din Santon ko kayi saalon se salaah di gayi hai ki woh vipattiyon ke liye tayyaar rahein thoda paesa jama karke rakhne se. Aysa karne se suraksha aur sukh mein bahut faaeda hota hai. Har ek parivaar ke paas zimmedaari hai apne khud ke zarooraton ko jitna ho sakein pura karne ke liye. “Tum duniya mein kahin bhi rehte ho hum tumhe vippati ke liye tayyaar karna chahate hai tumhe tumhare vitt ke haalaath ki or modne se. Hum tumse niwedan 1 kuch madad chahiye?” Unmein se ek ne mujhe dekh karte hai ki tum apne kharch mein saodhaani barto; apne khareedbeen mein karz se bachon khud ko anushaashan karne se. Karja ko chuka dein jitna jaldi ho sake, aur khud ko mukt karein is bandhan se. Lagataar kuch kuch paese bachaae taaki tum ek vitt bhandaar jama kar sako.” 1 Kya hum apne jiwanon mein apaat stithi ke liye tayyaar hai? Kya hamare gun paryaapt hai? Kya hum budhimaani se jeete hai? Kya hamare paas bhandaar hai? Kya hum Parmeshwar ke aagyaaon ka paalan karte hai? Kya hum bhavishyevaktaaon ke shikshan ko karte hai? Kya hum apne sampati mein se gareeb, aur zarooratmand ko dene ke liye tayyaar hai? Kya hum Prabhu ke nazar mein sahi hai? Hum samasyaon ke samay mein rehte hain. Aksar bhavishye ka hamein pata nahin hota; isliye, hamein anishchitta ke liye tayyaar rehna chahiye. Jab nirnay ka samay aata hai, tayyaari ka samay beet chuka hota hai. muskurayi aur kaha ki mai samay par aayi hoon kyunki sirf woh donon hi wahan safaai kar rahe the aur woh bahut thak gayi thi. Usne kaha ki usne prarthna ki thi ki Prabhu kisi ko madad ke liye bhej dein. Mai bahut khush thi ki mai kisi ke prarthna ka jawaab thi. Mai abhi hi kisi aur ke liye sewa karke aayi thi aur thaki hui thi, magar maine apne dil ki suni aur sewa karne chali gayi. Khushi ke saath kaam karna ek aagya hai (dekhiye D&C 24:7). Jab hamare paas sabhi samay par sewa pradaan karne ki ichcha ho, hum anye logon ke jiwan mein chamatkaar laane mein madad kar sakte hai. Hamara jiwan aur arthpurn ho jaata hai jab hum sewa karte hai. Prabhu sach mein humse prem karta hai, Woh Apne har ek bachche ki sahayta karta hai, aur Woh hamein sewa pradaan karne ki shakti dega. Lekhak Rio Grande do Norte, Brazil mein rehti hai. VIVRAN 1. The First Presidency, All Is Safely Gathered In: Family Finances (pamphlet, 2007). BACHCHE Kya Tum Tayyaar Ho? IS SANDESH MEIN SE SHIKSHAN Jawaabein: Sach, Sach, Jhoot, Sach, Jhoot P Jinhe tum bhent karoge unke baare mein sochte radhaan Monson ne hum sab se kaha hai ki hum hue, ayse tarikon ki sochein jisse tum unhein madad kathin samay mein tayyaar rahein aur dusron ko karoge zyaada atma-nirbhar banne mein naokri, vitt, unke kathin samay mein madad karne ke liye bhi. Is bhojan bhandaar, ya apaat stithi ki tayyaari ko lekar. Ek sach-ya-jhoot kuiz ko lein yeh jaanne ke liye ki kya aap gun ke baare mein sochiye jo tum unhein sikhlaa sakte tayyaar hai! ho, jaise kheti ya paese ka sanchaalan, jisse unhein Mai hamesha kisi ko madad karne ke liye dhoondh shakti mile Pradhaan Monson ke salaah ko apnaane ka. leti hoon. Sach □ Jhoot □ Mai apne sabhi sampati ke liye abhaari reh sakti YUVA hoon. Sach □ Jhoot □ Mere paas kisi ke saath baatne ke liye gun nahin hai. Maine Phir Se Sewa kiya Sach □ Jhoot □ Jaíne Araújo ke dwara Baad ke liye paese bachana achcha vichaar hai. E k din, ek sewa pariyojan ko samaapt karne ke baad, Sach □ Jhoot □ mai hamare sabhaghar ke paas se guzar rahi thi aur Mujhe naye khilaono aur kapdo ki zaroorat hai do bahanon ko imaarat ko saaf karte dekha. Mere mukh khush rehne ke liye. Sach □ Jhoot □ se yeh shabd turant nikal pade: “Bahanon, kya tumhe © 2014 dwaraIntellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakshit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/14. Anuwaad swikriti: 6/14. First Presidency Message, September 2014. Hindi, Fiji. 10869 298 ka anuwaad 2 S H I K S H A N S A N D E S H B H E N T, S E P T E M B E R 2 0 1 4 Ishu Maseeh ka Divye Mission: Sahayak Vishwaas, Parivaar, Sahayta Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org. Yeh Bhent Shikshan Sandesh ke bhaag mein se ek hai jo Uddhaarkarta ke mission ko batlaata hai. I shu Maseeh ne vaada kiya, “Mai tumhe anaath nahin choduga: mai tumhare paas aata hoon” ( John 14:18). Woh hamein “raakh ke bajaae sundarta dega, shok ki jagah khushi ka tel” dega (Isaiah 61:3). Kyunki Maseeh ne hum sab ke liye Praeshchit ko jhela, Woh hamein nahin bhulega. “Hamare Uddhaarkarta ne Apne upar . . . hamare peedaaon aur hamare dukh aur takleefon ko liya taaki Woh jaan sakein hum kya mehsoos karte hai aur woh kaise hamein sahayta kar sakta hai,” kaha Linda S. Reeves ne, jo dusri salaahkaar hai Sahayak Sanstha maha adhyakshta mein.1 Yeh jaanna ki Maseeh hamein sahayta karega hamein shaanti de sakta hai aur hamein prerit kar sakta hai Unke uddharan par chalke auron ki dekhrekh karne mein. Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Susamachaar ka hamara gyaan aur hamare Swarg ke Pita aur hamare Uddhaarkarta ke prati hamara prem hamein sahanubhuti dega aur hamein jiwit rakhega aur hamare hriday mein khushiyaali laaega jab hum achcha kaam karenge aur aagyaaon ka paalan karenge. Duniya ki koi bhi cheez hamein hara nahin paaegi.” 2 Dharamshaastra mein se John 14:18, 23; Alma 7:11–13; Doctrine and Covenants 101:14–16 Hamare Itihaas Se Elaine L. Jack, 12th Sahayak Sanstha maha adhyaksh, ne kaha: “Bhent shikshan mein hum ek dusre ki or badhte hai. Aksar haath woh kehte hai jo zubaan nahin kehta. Gale milne se prem ki kayi bhaavnaaein umadti hai. Ek saath hasne se hum ekta mehsoos karte hai. Thodi der ke liye baatein karne se hamare hriday taaza ho jaata hai. Hum musibat mein pade logon ke bojh hamesha nahin utha sakte, magar hum use sahayta de sakte hai ki woh use achchi tarah se seh sake.” 3 Hamare pravartak Sahayak Sanstha bahano ne “ek dusre ke prem aur daya mein aatmik shakti paayi. . . . Jab woh beemaari aur mrityu ke musibaton se guzar rahein the, unhonne ek dusre ke liye vishwaas ke saath prarthna kiya aur ek dusre ko sahanubhuti di. ‘Parmeshwar ka prem ek hriday se dusre hriday faelta raha,’ likha Helen Mar Whitney ne, ‘jab tak ki virodhi kamzor dikhne laga apne koshishon mein Prabhu aur hamare beech aane mein, aur uske kathor waar, kabhi kabhi, kuch bhi dukh nahin pahuncha paata hai.’” 4 VIVRAN 1. Linda S. Reeves, “The Lord Has Not Forgotten You,” Ensign ya Liahona, Nov. 2012, 120. 2. Thomas S. Monson, “Be of Good Cheer,” Ensign ya Liahona, May 2009, 92. 3. Elaine L. Jack, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society mein (2011), 119. 4. Daughters in My Kingdom, 34. Yeh Sochiye Kaise yeh jaanna ki Prabhu tumhe yaad rakhta hai se tumhe sahayta milta hai? © 2014 dwara Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakshit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/14. Anuwaad swikriti: 6/14. Visiting Teaching Message, September 2014. Hindi, Fiji. 10869 298 ka anuwaad
© Copyright 2025 ExpyDoc