~*~*~ Now Tafseer: Para 29 Surah Al-Muzzammil ~*~*~ NQSJ_AA029_SALSABEEL: han Tarteeb 73 , 2 raku ,20 ayaat, 285 kalimaat , 848 haroof Nam 1st ayat may ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Kab nazil howe ulma may mukhtalif raae han NQSJ_AA029_SALSABEEL: Baaz kehty han pori surat mecci ha aur aghaz may nazil howe NQSJ_AA029_SALSABEEL: Surat Muzammil 3rd wahi ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aaj es ko parhty howe mehsoos kary Nabi saw k dharkty howe dil ko aur kis tareeqay se Allah swt nay Nabi saw k kandhon per ek esa bojh mehsoos kia k jis se haqeeqat mein aap apnay aap ko prayshaan kerty han NQSJ_AA029_SALSABEEL: Surah ka theme “ Azeem zimmadari k liye tarbeyat ha “ NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ek training course ha k jo bade bade kaam agay ja ker kernay han un k liye kia osaaf honay chahye NQSJ_AA029_SALSABEEL: Wo log jin per Allah apnay deen ki aur kitab ki zimmadarian dalty han un ki zindgian kese hon,un ki subahein kase hon aur un ki shamein kase hon NQSJ_AA029_SALSABEEL: 1st hissa azeem zimmmadari k liye tarbeyat ki zarorat ha aur tarbeyat k liye pehla nuqta Qiyamul layal ha 2nd Quran ko ther ther ker parho,3rd raat ki bedari dil jammi k liye munasib ha kion k din may masrofiyat ziada han,4th Rabb ko apna wakeel bana loaur 5th sabar ker k sab se kat ker us ki taraf tawaja karo NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye han wo osaaf jo es pori surah may han jo deen k kaam kernay walon mein matloob han NQSJ_AA029_SALSABEEL: Deen ka koi bhi kaam karyn chota ho ya bara chotay ko Allah bara ker de ga agar aap k ander ye qualities honge NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur phela howa kaam kam hojaye ga agar en cheezon se apnay aap ko door karyn ge NQSJ_AA029_SALSABEEL: Surah k dosray hissay may mukhalifeen ko tembeh kee gaye k chore do Allah k Nabi saw ki mukhalifat kerna tum es samander k aage band nahi bandh sakty ۡ و َ و NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur Nabi saw ko tassali dee k ة ِ م ِ مك َ ين ُأ ْولِى ٱل َّن ۡع َ َذ ِب َ ذرۡ نِى َ ُ ٱل ۡ قلِيل ا َ م ۡ هل ُه َ و َ mein khud en se nibat loon ga aap apna kaam kerty rahe ِ م NQSJ_AA029_SALSABEEL: Bata dia k sacha daae deen her waqat logon ko safaiya paish nahi kerta , prayshaan nahi rehta apnay hissay ka kaam kerta rehta ha baqi cheezay Allah per daal de jati han ۡ NQSJ_AA029_SALSABEEL: Pher qiamat ki manzar kashi ha k jab paharh ال ِ ٱل ُ ج َب kanmpay ge aur bachay borhay ho jaye ge NQSJ_AA029_SALSABEEL: 3rd hissa Rabb ki taraf Janay ka rasta ikhtyar karo kese ? naseehat k zariye aur raat k qiyam mein jo sakhti mehsoos howe us ko thora sa halka ker dia gaya NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur akhir mein pher Allah k rastay k kaam aur us ko qarz e hasnah deney ki ehmiyat NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ek pora package ha , log es surah ko ek wazefay k toor per parhty han lakin ye wazefay se ziada ek course ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ham sab quran ko parhnay k baad apni zindgi ki her subah aur sham esi k saath guzarna cahty han tu ye surah hamary liye ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Dua k baghair kisi rukawat k ham es surah ko sunay aur es se hi pata chalta ha k Allah swt kesy apni madad latyn han Allahumma aameen NQSJ_AA029_SALSABEEL: Amal ki baat ==Surah k maqasid note ker k check karyn apnay aap ko k kia manay ye maqsad paya ? NQSJ_AA029_SALSABEEL: Maqsad == hadaf , aur teer nishanay per tab lagta ha jab samnay hadaf mujood ho NQSJ_AA029_SALSABEEL: *~*~*~ Surah k Maqasid *~*~*~ NQSJ_AA029_SALSABEEL: 1. Raat ko qiyam kerna seekh sakayn NQSJ_AA029_SALSABEEL: 2. khoob ther ther ker Quran parhna seekh sakayn 3. Raab ka nam yaad kerna seekh sakayn NQSJ_REPLAY_FQ: 4. Allah swt ko apna wakeel banana seekh sakayn NQSJ_REPLAY_FQ: NQSJ_REPLAY_FQ: 5. logon ki baton per sabar kerna seekh sakayn NQSJ_AA029_SALSABEEL: 6. logon se achay tareeqay se alag hona seekh sakayn NQSJ_AA029_SALSABEEL: 7. sab se kat ker alag hona kia hota ha es k tareeqay seekh sakayn NQSJ_AA029_SALSABEEL: 8.Rabb ki taraf Janay ka rasta kon sa ha es ko jaan ker es per chalna seekh sakayn NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah kary k hamay ye kerna aajaye tabhi ham deen k kaam khoobsurat tareeqay se ker sakayn ge NQSJ_AA029_SALSABEEL: 9. Allah swt ko acha qarz dena seekh sakayn NQSJ_AA029_SALSABEEL: 10. apnay liye bhlaian agay bhejhna seekh sakayn aur Allah se maghfirat mangna seekh sakayn NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 1 NQSJ_AA029_SALSABEEL: A kapray mein lapatnay waly NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 2 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Raat k waqat qiyam farmaya kary magar thora etna nahi k paaon soojh jayen pori raat nahi zarorat balky NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 3 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Adhi raat ya muqa ki munasibat se es se bhi kuch thora kerly NQSJ_AA029_SALSABEEL: Yani jis din din may boht kaam kerna paray ya aglay din boht zimma darian hon tu us raat thora qiyam ker lyn lakin NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 4 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur barha liya karyn kab ? jab din ko araam ka muqa mil jaye NQSJ_AA029_SALSABEEL: Jab din ko kaam ka pressure ziyada na ho tu pher us raat qiyam ka time ziada ker liya karyn jaag ker kerna kia ha ? ۡ ل NQSJ_AA029_SALSABEEL: ءانَ ت َرۡ تِيل ا َ ۡٱل ُقر َ = khoob ther ther ker Quran ko parha ِ ِو َرت karyn NQSJ_AA029_SALSABEEL: Kion parhay kia hoga ? pehly hi etnay kaam han pher raaton ka bhi kaam shuru ker de kaha es ko waja kia ha ? NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 5 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Nabowat ki zimma darian tableegh ki zimma darian ablagh ki zimma darian ada ho hi nahi sakty jab tak banda Rabb se dictation na ly Allah swt k saath taluq na rakhye NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah swt se baat kernay ki adat hoge tu din may logon k samnay zuban khulay ge NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye khulasa ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Nabi saw ko hukam de dia gaya k ab uth jaye soonay k din chaly gaye han , 40 saal guzar chukay han NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye teesri wahi ha ibtadae door ha aur naya naya her kaam acha lagta ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Naya Quran shuru hota ha tu jazbay naye esi tarhan nabuwat bhi naye naye thee NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah k nabi saw ghar e hira may hasb e mamool ibadat k liye gaye aur saath sattu aur pani ly ker gaye NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur pehly se hi dil ki zameen sar sabz honi shuru ho chuki thee aur hz Khadija aap ko thora sa khana bana ker de deti aur Allah k nabi jahan muqa milta kha layty thee mil gaya tu kha liya na mila tu kae ghanty bhokay rahe ۡ NQSJ_AA029_SALSABEEL: Esi hi gharion may ek raat Jibraeel as aaye aur م ۡ ِٱق َر ۡأ ب ِ ٱس ق ِ َّ ك ٱل َ َ خل َ ذى َ َر ِبki ayaat nazil howe NQSJ_AA029_SALSABEEL: Kushi tu hoge lakin takleef aur ehsaas boht thaa k new experience insan ko excitement bhi deta ha lakin thakan bhi hoti ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aap saw wahan se niklay aur ghar gaye aur Hz Khadija ra se farmaya zammiluni zammiluni ‘ mujay chadar urha do mujay chadar urha do’ NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 1 __ detail ۡ يَـٰٓأَيُّ َہاes surat mein aur agli surat mein يَـٰٓأَيُّ َہا NQSJ_AA029_SALSABEEL: Esi ko ل ِ م َّز ُ م ُ ٱل ۡ kaha gaya دثِ ُر َّ م ُ ٱل NQSJ_AA029_SALSABEEL: En dono ka meaning chaday urhnay waly ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: ل ِ م َّز ُ م ُ asal mein thaa ‘Mutazamil’ taa thee tazamala se nikla meaning Talafafa yani apnay upper chader ya koi kapra lapait leena NQSJ_AA029_SALSABEEL: Asaani k liye es ko muzammail ker dia gaya NQSJ_AA029_SALSABEEL: Nabi saw us waqat chadar lapait ker bathye thee k Allah nay ye ayaat nazil ker de NQSJ_AA029_SALSABEEL: Arab ka aam dastoor thaa k jab kisi se lutf aur muhabat ka izhaar kerna hota tu jis halat mein wo hota usi se us ko pukaarty NQSJ_AA029_SALSABEEL: Jesa k ek muqa per hz Huzaifa ra soo rahe thee Nabi saw aaye aur farmaya ‘kum ya numan’ a soonay waly jaag jao NQSJ_AA029_SALSABEEL: Tu jo soo raha ha wo jaag jaye kion k soonay walon k naseeb bhi soo jaty han,jo ssta ha wo khoota( lose ) ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hz Ali rah z Fatima ra se kisi baat per naraaz ho ker bahir jaa ker farash per lait gaye Nabi saw ko khabar howe k beti aur damad ka jhagra ho gaya aap damaad k pass gaye aur kaha ‘kum ya aba turab ‘ a matti k baap uth ja’( sara gussa door ho gaya hoga hz Ali ka ) NQSJ_AA029_SALSABEEL: Esi tarha hz Abu Hurayrah ko billion ( cats ) se muhabat kerty deekha tu aap nay farmaya ‘ya aba hurayrah o abu hurayrah aur wo esi nam se mashoore hogaye NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aap bhi apnay bachon ko boht araam se piyar se uthaya karyn o boht soonay waly utho , o do kaano waly utho NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ek muqa per aap saw nay ek sahabi ko esi tarha uthaya o doo kaano waly uth jao NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye piyar ka andaz ha es ko meehsoos kary kahan 40 saal ki gumnami koi maqsad nahi thaa us waqat tarap thee abi dil ki zameen hari howe thee khud ba khud ibadat kerna shuru hogaye thee lakin wehm o guman mein bhi na thaa k Allah mujay kis kaam k liye chun raha ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah swt khud Quran mein farmaty han ‘A Nabi saw aap nay tu kabhi soocha bhi na thaa k Allah aap ko kia de de ga aap nay tu kabhi ye soocha bhi na thaa k aap k pass kitab aaye ge nabuwat aaye ge’ NQSJ_AA029_SALSABEEL: Lakin esa hi dil jis k ander sachae hoti ha sadiq aur amin ka ۡ يَـٰٓ َأيُّ َہا laqab panay wala dil aaj es nam se pukara jaa reha ha k ل ِ م َّز ُ م ُ ٱل NQSJ_AA029_SALSABEEL: Uth jaao boht soo liya ab soonay k din gaye,sooe howe ummat k naseeb ko jagana he chand logon ko tu uthna hi pade ga ta k sooe howe ummat ko jagaye NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ghar ki missal ley ley jab ghar mein sab sooty han tu jagna mushkil lagta ha, jab sab jagty han tu sab jaag ley ge, koi Pakistan se aajaye ya shadi se pehly ki koi raat jab sara khandan jamma ha pata hi nahi chalta kehty han subah bhi hogaye NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur sab k sooty mein jaag ker deekhy sab se bara mushkil marhala ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Jab sare ummat jaag jaye ge jagna asaan lagay ga,aaj ummat soo rahe ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Es waqat Quran perhanay k baad Allah swt aap ko ek dawat deta ha,es dawat ko sirf Nabi saw k liye mili howe dawat na soochay apnay leye soochay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 2 – detail قلِي ا َ ل إِ ََّّل NQSJ_AA029_SALSABEEL: ل ا َ ُم ٱل َّ ۡي ِ = قab waqie hamay uthna pade ga agar qabron may araam se soona chahty han NQSJ_AA029_SALSABEEL: NQSJ_REPLAY_FQ: jaag jaye Agar ‘ nan kinmatul aroos’ wali khabar sun na chahty han tu aaj Duniya k liye tu boht jagty han bacho k liye bhi,shuron k liye ghar k buzurgo k liye un ki khidmat kernay k liye jaage tu ab uthye ل إ ِ ََّّل َ م ٱلَّ ۡي ِ ُق َقلِيلااab Rabb k liye jaagiye NQSJ_REPLAY_FQ: Ayah 3 __ detail NQSJ_REPLAY_FQ: Nabi saw en ayaat se pehly pori pori raat jagty rehty aur etni ibadat kerty k aap k paaon mein waram aajata NQSJ_REPLAY_FQ: Allah ko apnay Nabi saw per piyar aaya kaha pehly aur baat thee 40 saal k aap hogaye aap nay apnay nafs ko kuchla aap sari raar hira ki ghar may jagty rahey koi baat nahi ab kaam kuch aur ha ab aap per din ki zimma darian han es liye ab nisf kafi ha َ ه NQSJ_REPLAY_FQ: قلِيلا ۡ = َأو ِ ٱن ُقkabhi thora kabi ziada, kabhi ziada ker ley ِ ص ُ ۡمن adhay ka thora ya adhay ka ziada NQSJ_REPLAY_FQ: Standard kia ha adha, adhay se kabhi kam kabhi ziada ker ligeye pori raat ka mutalba nahi aur yahi islam ka mizaj ha NQSJ_REPLAY_FQ: Aaj hamaty han jahan kaee nam per kae rasmi nam ejaad howe us mein ek lafz shabeenay ka bhi aagaya NQSJ_REPLAY_FQ: Shabb se shabeena tasgheer ha,pori raat jagna islam mein shabeena nam ki koi terminology nahi ha NQSJ_REPLAY_FQ: Nabi saw ko bhi ye hukam nahi thaa k pori raat jage , aaj hamay bhi nahi ha KION ? NQSJ_REPLAY_FQ: Es liye k islam deen e fitrat ha jis Rabb nay ye ahkamaat deye ۡ usi nay hamara jism banaya م ۚ سنَ اة وَ ََّل ن َوۡ ا ِ خ ُذ ُه ۥ ُ ََّل ت َأwali zaat khud tu jaag sakti ha insaan nahi jaag sakta NQSJ_REPLAY_FQ: Aaj doctors aur scientists gawahi dety han k pori raat agar koi jaagta ha musalsal tu aglay kaae din k soonay se jisam k ander jo kami howe wo poori nahi hoge NQSJ_REPLAY_FQ: Es liye raato ko jagnay se jism kharab hojata ha seht kharab ho jati ha insaan ka agla pora din zaya ho jata ha NQSJ_REPLAY_FQ: Amal == koi majboori na ho agar kabhi bhi raat ko na jaagyn balky kuch raat jagay Nabi saw ka yahi amal thaa NQSJ_REPLAY_FQ: Nabi saw ishaa ki namaz farz parhty aur soo jaty,raat ka akhri pehr shuru hota pher uth jaty , kabi fajar k bilkul qareeb bhi uthty NQSJ_REPLAY_FQ: Tahajud k bary mein general baat samjh ley k ye nafal ibadat ha NQSJ_REPLAY_FQ: Baaz kehty han Nabi saw k liye farz thee ummat k liye Nafal ha NQSJ_REPLAY_FQ: Hamary liye kia ha k aaj Nafal ibadaat mein sab se behtareen namaz TAHAJUD ki ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 4__ detail NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah swt nay yahan us k faiday bataye han NQSJ_AA029_SALSABEEL: K raat ki namaz raat ka uthna us k saath taluq kis cheez ka ۡ ل ha ٱل ُقرۡ َءانَ ت َرۡ تِيل ا َ khoob ther ther ker Quran parhye ِ ِو َرت NQSJ_AA029_SALSABEEL: Es lafz aur Nabi saw k amal se pata chalta ha k khas ker ramdan ka Qiyyamul layl akhri raaton ka k raat k waqat jo ibadat ziada kerni matloob ha wo quran ki tilawat ha ت َرۡ تِيلk saath NQSJ_AA029_SALSABEEL: = ت َرۡ تِيلes k kae darjy hoty han NQSJ_AA029_SALSABEEL: 1.khoobsorti se munazam aur muratab hona, wo munh jis k dant khoobsurat aur jory howe hoty han NQSJ_AA029_SALSABEEL: Tu tarteel Quran ki kia howe aista aista sooch samjh ker ghor o fikar kerty howe e ski tilawat kee jaye NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hz Ali ra se kisi nay poocha k ye ت َرۡ تِيلkia ha tu farmanay lage k Allah k Nabi nay hamay bataya jis tarha jaldi jaldi raddi khajoory bakherty chaly jaty ho esa na karo jab koi nadir nuqta aaye tu ther jao apnay dil ko es ki asar angazi se mutharik karo tumay surat ko jaldi jaldi khatam kernay ka fikar na ho ye ha ت َرۡ تِيل NQSJ_AA029_SALSABEEL: Sary meaning aagaye es k ander k jis mein parhnay ka andaz bhi theek ho,ghore bhi ho taiz taiz na ho, adaigi ho,jahan rukna ruko,jannat ki ayaat aye tu jannat mango jahanaum ki ayaat aye tu jahanum se panah mango, es Quran k mafhoom ko samjho Surah Muhammad saw may ۡ ن َ َأ َ دبَّ ُرو Allah nay ham se poocha thaa ayah 24 mein َٱل ُقرۡ َءان َ ف َل يَ َت NQSJ_AA029_SALSABEEL: Yahan kaha k tadabar karo tymary dil per Allah ki azmat ka ehsas ho us ki rahmat ka bayan ho tu tumara dil tashakur k jazbaat se labraiz ho,kahen us k gazab aur azab ka zikar aye tu dil per us ka khouf tari ho,jab kisi cheez ka hukam aye tu us ko mananay ka irada ker lo,kisi cheez se mana kia jaye tu samjh ker us se mana hojao NQSJ_AA029_SALSABEEL: Kia pata chala ? NQSJ_AA029_SALSABEEL: K Quran parhna sirf zuban se adayegi ka nam nahi ghor o fikar aur tadabar saath saath hona chahye NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hz Anas Nabi saw k saath rehty thee kisi nay poocha k Nabi saw kesy quran parhty thee tu unho nay farmaya k Aap lafzon ko kheinch kheinch ker parhty thee aur pher parh ker bataya / sahee bukhari NQSJ_AA029_SALSABEEL: Umme salma se kisi nay sawal kia k Nabi saw kesy parhty thee tu kenay lage k aap he rayat ko alag alag parhty thee pher missal de... /musnad ahmad,abu dawod,tirmizi NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ek aur rawait may umme salma nay farmaya k Aap saw wazeh toor per parhty thee ye nahi k lafz badal jayen NQSJ_AA029_SALSABEEL: Araby zuban boht rich ha amuman galti makharij ki hoti ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Missal Qalab ki jaga kalab dil ki jaga kuta (dog) kehey Qul huwallahu ahad aur agar kehde kul huwallahu ahad Qul ha kehna and kul ha khanatu matlab kia how akhaye Allah ek ha /ye madod ki galtian han NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah hu Akbar NQSJ_AA029_SALSABEEL: Araby zuban etni scientific zuban ha k formula mein se ek cheez nikal de tu ek cheez dosri ban jati ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah swt nay quran ko parhnay ka yahi andaz sikhaya NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hamari urdu zuban mein bhi yahi cheez ha koi kahey tala aur koi kahey taala faraq ha tu apni madod ki galtion ko darost karyn NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hamara haal kia ha kehty han jo ustani jee nay parha dia wohi theek ha na dobara seekhna chaty han NQSJ_AA029_SALSABEEL: Kapron aur saleeqay mein tu ustani ko follow nahi kerty lakin quran pe baat aati ha kehty han jo parh liya ha wohi ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Parhnay k ander khoobsurat wazeh eke k lafz ko wazeh toor per parhty NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hz huzaifa bin yaman kehty han k ek dafa mein namaz mein Nabi saw k peechay khara hogaya mein nay aap ki qirat ka ye andaz NQSJ_AA029_SALSABEEL: deekha k jahan tasbeeh ka muqa aata wahan tasbeeh farmaty,jahan dua ka muqa aata wahan dua mangty,jahan Allah ki panah mangnay ka muqa aata wahan panah mangty/sahee muslim ,nisaae NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ha abu Zar ghafari kehty han ek dafa raat ki namaz may mien Nabi saw k peecahy thaa jab aap es muqaam per pohnchay م ۡ َذبۡ ُہ ِ ِإن تُع َ ۡ ۡ ۡ َ َ َ يم َ نت ٱل ۡ وإِن ت َغ ِفرۡ ل ُه ۡ ‘ فإِن َّ ُہagar tu en ko saza dena chaye ِ م َ ع ِزي ُز ٱل َ كأ َ َّ م فإِن َ ك َ عبَا ُد ُ ِحك tu pher ye tary hi bandy han aur agar aap en ko baksh de tu aap ghalib aur hikmat waly han’ Surah Al Maidah ayah 118 ha, kehty han k aap es ayat per aye tu dohraty gaye dohraty gaye yahan tak k subah hogaye ( tu tarteel mein dohrana bhi ha )/ Musnad ahmad, sahee Bukhari NQSJ_AA029_SALSABEEL: ت َرۡ تِيلmein ta’asur bhi ha ta’aseer bhi ha bilkul samjh aajata ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur raat k waqat ek banda quran parhye tu Allah swt kia pukarta ha ? NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hadith / Allah swt aasman e duniya per nazool fermata ha aur pher sadaye lagata ha awaz lagata ha ha koi jo mujh se mangey mein us ko doo,ha koi jo bakshsish mangey mein us ko bakshish doon,koi ha jo mujh se bemarion se shifa mangey mein us ko shifa doon (jawab kia jata hoga hamari taraf se ek taweel khamoshi ) NQSJ_AA029_SALSABEEL: Imagine tu karey American embassy k bahir raat k 3 o clock ambassador awaz lagaye ha koi jo green card lena chahey pata ho logon ko tu ek lambi line hoge NQSJ_AA029_SALSABEEL: Pizza hut k bahir koi keh de k raat k 3 k baad pizza free ha pher deekhye k kesey tot ty han ham , ye hamari halaat he NQSJ_AA029_SALSABEEL: DUNIYA K LIYE KITNAY TAIZ AUR AKHRIYAT K LIYE KITNAY SUSAT NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah arshoon ka Malik deena chata he aur ham nahi lena chahty NQSJ_AA029_SALSABEEL: Nabi saw nay farmaya tum ko raat ka jagna zarori ha pehly zamany k logon ka yahi dastoor raha ha , raat ko jagna Allah k qurub ka zaria aur gunnaho ko mila maet kernay wala he/ Abu ummamah ki rawait / Tirmizi NQSJ_AA029_SALSABEEL: Nabi saw nay farmaya 3 admi wo han jin ko deekh ker Allah swt hansta he, ek wo shaks jo raat ko uth ker namaz e tahajud parhta he( chand bori nanian dadian hon ge jin ko deekh ker hansta hoga aur bachon aur nujawano ko deekh ker najany kia haal hota hoga un kit u abi ankh lagi hoge ,tv jaag reha ha wo soo gaye chips khula howa he left hand se khaty khaty ankh lag gaye Kia hogaya he hamay,hamari naslon ko kia hogaya ha sara din ham bhagty pherty han k ham se ziada energy kisi mein nahi aur ش ا raat ko lakrion ki tarhan soo jaty han د اة َ ُّس َّن َ بم ُ خ ُ dua kary k aaj ki raat Allah hamay bhi deekh ker hansey muskoraye Allahumma aameen ) dosry wo log jo namaz k liye saffay bandhty han( tedhe saffay Allah ko nahi achi lagte ) teesry wo log jo meedan e jang mein apni saffo ko darust rakhty han NQSJ_AA029_SALSABEEL: Raat ka jagna kushnaseebi k darwazon ko khulwana ha Allah swt kehty han k raat ko jaga karyn apna araam choro ge tabhi tu han manay ge tum hamary ho NQSJ_AA029_SALSABEEL: Duniya mein jis se muhabat hoti ha us k liye qurbani dety han koi ek raat hamary liye jaag ley ham kabhi us ka ehsan nahi bholty NQSJ_AA029_SALSABEEL: Tu kia Allah k liye jaagna hi mushkil ha,hamay khud per kitna reham aata ha k aur kia kary etna tu kia ha tu kaha NAHI NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 5__ detail قوۡ ا َ ك NQSJ_AA029_SALSABEEL: قيل ا ِ َ َّل ا ث َ س ُن ۡل ِقى عَ ل َ ۡي َ إِن َّاham aap per bhari zimma dari dalnay waly han ek esa silsala shuru honay wala ha k jis mein 1000 hukam 1000 mana kee howe cheezay qissay kahania peechi qoumon k waqiaat jannat aur jahanam ki baatyn NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ham aap per ek esa kalaam nazil kernay waly han k ۡ ذا َ هـ َ لَوۡ أَن َز ۡل َنا جبَ ا paharon per nazil hota tu tum deekhty ه ۥ َ َٱل ُقرۡ َءان ُ ل ل َّ َرأَيۡ َت َ علَى د اا ش اا ُّ عا ه ۡ خ ۡ م ِ َّ ة ٱلل ِ َشي ِ عا ِ ص ِ خـ َ ن َ م َت َ surah Al hasher ayah 21 ye quran koi choti cheez nahi ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aap nay tu 29 paron ko pata nahi kis darjy per lia ha ye koi choti cheez nahi pahadon per utarey tu wo kampnay lage insaan na kampty NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hz Aisha ra farmati han mein nay deekha k sakht sardi k dino mein bhi jab wahi nazil hoti tu app saw ki peyshaani paseenay se bhar jati NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye koi choti baat he,es se tu Allah ka qurub milta ha,es se tu zindgi ka rukh badal jata ha NQSJ_AA029_SALSABEEL: Jhatkon mein Allah thaam leta ha jo insaan ki zindgi ka rukh mode dety han, logon aur society k pressure per dharas milti ha es quran ko parhnay k baad NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye pehla faida ha tableegh kernay waly taleem dene waly logon k faiday k ban nay waly agar raat ko Allah swt se dictation nahi ley get u logon ki baatyn nahi sun saky ge palat jaye ge NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah 6 NQSJ_AA029_SALSABEEL: 5 ahkamat hain allah k nabi ko mukhatib kernai k ba’d NQSJ_AA029_SALSABEEL: Is wqt tahajjud ka zikr hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: Nashia tul lail kia hay\ NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aisha rz farmatee hain NQSJ_AA029_SALSABEEL: Qayamul laili baad an naum NQSJ_AA029_SALSABEEL: sonay k baad raat ko jagna NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aik aur tafseer : raat kay aakhri peher kharay hojana NQSJ_AA029_SALSABEEL: Nafs kay ghoray ko kuchalna NQSJ_AA029_SALSABEEL: Raat ko jagnay ka bara faida: ye nafs ko rond deta hai, NQSJ_AA029_SALSABEEL: lafz nashiya nasho numa say, Sonay k ba’d doobara jagna, raat k aakhri hissay main Qayam kerna NQSJ_AA029_SALSABEEL: nafs aik ghora hay ,ya to ghora malik kay qaboo hota hay ,ya malik per qaboo palaita hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: nafs ko qaboo main rakhna hai, shaitan say pehlay nafs burai per amada kerta hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: isee se takabbur khtam hoga ,nafs bachay ki tarah hay aik dam doodh na churaya to baray hona tak na choray ga NQSJ_AA029_SALSABEEL: kal qayamat may insan apnay nafs ko kosay ga NQSJ_AA029_SALSABEEL: rat ko uthain NQSJ_AA029_SALSABEEL: din ki tableegh asan ho hi nahn sakti agar raat ko allah k samnay jag ker ibadat na karain ,insan sota jay to utna hi sonay ka dil chahta hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: hum ko neend bohot piyaree hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah k nabi nai fermaya: mere rab nai mujhay adab sikhaya aur adab sikhanay main kamal kia NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah nai nabi ko ye adab sikhaya k raton ko jagain gay to faida hoga NQSJ_AA029_SALSABEEL: baray baray buzurgon ka yahi tareeqa tha ,quran kay baray raaz sehri may khultay hain NQSJ_AA029_SALSABEEL: doosra faida: NQSJ_AA029_SALSABEEL: Agla faida: wa aq wamu weela NQSJ_AA029_SALSABEEL: raat ki ibadat zaban ko seedha kerti hai. Napi tuli baat kerna seekhati hai raat ki ibadat NQSJ_AA029_SALSABEEL: hum sara din baat kartay hain NQSJ_AA029_SALSABEEL: napay tulay jumlay bolna seekhna ho raat may Allah say bat karain Allah ko raat ko sunain ,Subah sabaq sahih sunain gay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah:7 NQSJ_AA029_SALSABEEL: sabaha kehtay hain pani main tairnay ko din main hazaron kaam, deeni o dunyawi NQSJ_AA029_SALSABEEL: din may logo ko available raho raat ko b akaily jago rab kay samnay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah: 8 NQSJ_AA029_SALSABEEL: 2 tarah ka zikr hota hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: i.Aik dil se, ii.Aik zuban se NQSJ_AA029_SALSABEEL: aur zikr karo…raat ko jag ker. Apni baton main na lagay raho quran bhi zikr hai. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Quran bhari kalam nahn rehta jo issay apna zikr bana leta hai. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Jab is quran ka hukm hum apnay jism per lagalain to sare dunya kay saamnay kharay hosaktay hain NQSJ_AA029_SALSABEEL: Akhri hukm NQSJ_AA029_SALSABEEL: Tabattul:her taraf say talluq tor ker Allah ki ibadat main mashghoul hona tabatul kehlata hai. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hazrat Fatima ka laqab batool isi tabatul say NQSJ_AA029_SALSABEEL: sab say kati hoi Rab say juri hoi NQSJ_AA029_SALSABEEL: Laikin ye tabattul rahbaniyat nhn NQSJ_AA029_SALSABEEL: Tabattul: NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hath dunya k kam karain aur dil main allah ki mohabat ho NQSJ_AA029_SALSABEEL: Kahin ho kuch bhi karay dhiyan Allah ki taraf ho NQSJ_AA029_SALSABEEL: NQSJ_AA029_SALSABEEL: NQSJ_AA029_SALSABEEL: poora kerna Aik momin ka dil kabhi allah say nahin kat sakta Tabatul: Allah ki zemay darioun ko allah k hukam ka sath Ibne zaid : “Tabattul yeh hay keh dunya wa ma feeha ko chor ker sirf uss ki taraf tawajjah rakhain jo Allah kay paas hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Magar yeh tarke talluq aur tarke dunya nahin NQSJ_AA029_SALSABEEL: Azan hotay hee tabattul Sab ko chor dain uss waqt NQSJ_AA029_SALSABEEL: Rab kay liay tabatul kerna, talluq tark kerna asan tub hota hai jub maloom ho jai rab ki haqeeqat, wo rab jo maghrib o mashriq ka rab hai, uskay siwai koi hai hi nahin NQSJ_AA029_SALSABEEL: Itni bari zaat ka samna to choti zaat k sath baithna pasand karengay? NQSJ_AA029_SALSABEEL: Job say tabatul ho hi nahin sakta jub tak allah ki barai ka ahsas dil main na ho NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur agar mushkil lagay to kaha k dekhlo wo tumhara wakeel hai. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah: 9 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Karsaz jis k hawalay apnay kam kerdiay jain NQSJ_AA029_SALSABEEL: Tawakul lafz wakala say. Wakeel NQSJ_AA029_SALSABEEL: Apnay sab mamlat Allah k walay kerdo, ye panchwan hukam hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: Shuru soorat say yahan tak 5 hukum jis k zareeay allah ka qurb paya jata hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: i.Raat ki ibadat kay liay khalwat NQSJ_AA029_SALSABEEL: ii.Quran main mashghoul hona NQSJ_AA029_SALSABEEL: iii.Ziker e ilahi per dawam NQSJ_AA029_SALSABEEL: iv.Allah k alawa sab say tark e taluq NQSJ_AA029_SALSABEEL: v.Allah per tawakul NQSJ_AA029_SALSABEEL: In 5 nuskhon per amal ki wajha say jis ki wajha say deen k kamon say jur sakaingay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Warna dunya khainch ker lay jay gee NQSJ_AA029_SALSABEEL: Kisi aik main kami to dunya ki taraf khinch jaingay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Balance rakhna zarooree hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Phir bhi halat mushkil rahay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayah: 10 NQSJ_AA029_SALSABEEL: to da’ee ko bata dia gaya k ye mushkil rasta hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye mat socho k quran perhnay say log tum say khush hojaingay NQSJ_AA029_SALSABEEL: To khoobsoorti k sath in say alag ho jao Logon ki baton per sabr e Jameel; 6th hukam NQSJ_AA029_SALSABEEL: hajran jameela NQSJ_AA029_SALSABEEL: :tum un k sath achay rahi NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 11 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Baqi ap jhutlanay walon ko chor dain NQSJ_AA029_SALSABEEL: Jhutlanay walay naimaton walay hotay hain Maal dolat walay hi aksar jhutlatay hain NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ap in ko thori si mohlat dain NQSJ_AA029_SALSABEEL: Dunya k chand salon jitni NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 12 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ankaal: bhari bairian ,Hum in per bairian dalain gay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Pairon main, bharakti hoi aag NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 13 NQSJ_AA029_SALSABEEL: aur aisay khanay k sath jo galay main phans janay wala hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur dardnak azab NQSJ_AA029_SALSABEEL: Inko khouf nhn ata apki mukhalfat kertay to qayamat ka din dikha do NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 14 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Us roz jub zameen laraznay lagay gi zameen aur pahar NQSJ_AA029_SALSABEEL: Pahar rait k behtay teelay ban jaingay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye pehlay say bataya k ye apko tang karaingay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Bas app nay ghussay main nhn ana NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hazrat ibne abbas fermatay hain : ismain aag k kantay hongay aur azaban aleema keh ker is ki shiddat barahai NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hazrat hasan basri aik din rozay se thay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aftar kay waqt khana samnay aya to iss ayat per tawajuh chali gayee NQSJ_AA029_SALSABEEL: Khana na khaya uthwaya ,Aglay din phir wohi hua NQSJ_AA029_SALSABEEL: Teesray din phir yahi hua ,Kioon keh yah ayat aa gayee zehen may NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 15 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ay makkah walon hum nai tum per azeem rasool bhaija NQSJ_AA029_SALSABEEL: Tum per gawah banaya gaya NQSJ_AA029_SALSABEEL: Jaisa firoun per bhaija tha NQSJ_AA029_SALSABEEL: NQSJ_AA029_SALSABEEL: NQSJ_REPLAY_FQ: Allahumma la taj'alna minhum aameen aameen NQSJ_AA029_SALSABEEL: Tum bhi agar firouni rawaiya ikhtiyar karo gay to ussay to pani main diboya tha tumharay azab k liye to aur bohat kuch hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: Uss waqt log huzoor kay hilaf baat karahay thay ,Un ko warning hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 16 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Pas nafermani ki firoun nai rasool ki ,Phir is ko sakhti say pakarlia NQSJ_AA029_SALSABEEL: Wabeel : sakht ,Wabal walay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 17 NQSJ_AA029_SALSABEEL: To agar tum nafermani kertay rahay to bacho gy kesay? NQSJ_AA029_SALSABEEL: Q k wo din kesa hai? Wo roz jo bachon ko boorha bana dega NQSJ_AA029_SALSABEEL: Wo itni shidat wala ho ga NQSJ_AA029_SALSABEEL: Rasool ki aik taweel hadith ka khulasa: Qyamat safak logon per aigi NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah ka nam lainay wala nahin bachay ga. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Qayamat ka dhamaka shadeed hoga. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Log jama hongay maidan e mahshar hoga. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Phir Allah taala hazrat Adam ko bulaingay aur kahaingay apni aulad k hissay banton. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Wo poochaingay kesay? NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah fermaingay jannati aur jahanumiyon ko alag karo. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Hazrat adam as poochaingay kia tareeqa ho? NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah taala fermaingay her aik hazar main say 999 ko jahanum main dal do aur aik ko jannat main. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye baat sunnay k ba’d khouf say bachay borhay ho jaingay. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aik mahoom iss ayat ka yeh hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Taweel din hoga itna taweel goya aik bacha boorha honay tak ki muddat kay barabar NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 18 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Us din k houl say aasman phat jai ga. Allah ka wada poora hoker rahay ga NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 19 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ye to aik naseehat hai… quran… ,Quran ka concept change hogaya NQSJ_AA029_SALSABEEL: kitab e hidayat ki bajai ye kitab e barkat ban gayi NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah issay naseehat lainay ka hukam deta hai. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ginti poori nahin kerni perhnay ki. ,gin to farishtay rahay hain. ,tum samajh ker perho NQSJ_AA029_SALSABEEL: NQSJ_AA029_SALSABEEL: NQSJ_REPLAY_FQ: hamara andaz ya esal e sawab ya wisale sawab ya hasole sawab NQSJ_AA029_SALSABEEL: ,alarm ki tarah NQSJ_AA029_SALSABEEL: zabardasti nahi Husool e sawab tak rah jatay hain ,yeh reminder hay Ab jis ka jee chahy apnay rab ka rasta ikhtiyar kerlai, koi Koi danday kay zor per deen per na ayga ,logon ko raghbat aur muhobbat se batain ,yahan tak aik ruku poora hoa NQSJ_AA029_SALSABEEL: Iska mazmoon bhi bata raha hai k ye makki ruku hai tableegh k sath hai. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Ayat 20 NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aik ayat ka aik pura ruku hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: Yeh aik ayat ka aik ruku hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Is kay baray may kuch kehtay hain madani hay kuch kehtay hain makki hain. NQSJ_AA029_SALSABEEL: م َ َّإِنَّ َرب ُ َ ك يَعْ ل NQSJ_AA029_SALSABEEL: Beshak aap ka rab janta hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: دن َى ْ َوم أ َ َّ أَن ُ ك ت َ ُق NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aap jaaga kartay hain,qyam kartay hain NQSJ_AA029_SALSABEEL: ل ِ أَ ْدن َى ْ م ِ ن ثُلُ َثيِ اللَّ ْي NQSJ_AA029_SALSABEEL: Do tihai raat kay qareeb bhi aap jagtay hain. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Kabhi NQSJ_AA029_SALSABEEL: َه ُ صف ْ و ِن َ (wanisfahu) aadhi raat, NQSJ_AA029_SALSABEEL: Kabhi (wathuluthahu) َه ُ وثُلُث َ one third. َ َّ َ ص NQSJ_AA029_SALSABEEL: وطائِفَة ِ م أَ ْدن َى َ َه ُ وثُ ُلث َ ه ُ ف ْ ِون َ ل ْ م َ َّ م أَن َ َّإِنَّ َرب ُ ك تَ ُقو ُ َ ك يَ ْعل ِ ن ثُلُ َثيِ الل ْي َّ ۚك ع َ م ين ذ ل ا ن م ِ ِ َ َ َ َ NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur aap akelay nahi ,aap kay saath aik giroh bhi hota hai jo qayaam karta hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: Nabi(saw) par jab tahajjud ki ayatain ain thi, log pori raat jagnay lagay thay. Is ayat may takhsees kar di gai. NQSJ_AA029_SALSABEEL: ر ِ ه ُيق َ وال َّن َ ها َ ل َ َد ُر اللَّ ْي ُ َّ والل َ NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah hi chota karta hai raat aur din ko. َ صو ُه NQSJ_AA029_SALSABEEL: ۖ م َ اب ُ عل َ ْي ْ ك َ ف َت ْ ُن ت ْ َ م أَنْ ل َ ِعَ ل ُ ح NQSJ_AA029_SALSABEEL: Wo janta hai kay tum is (sari raat jaagnay) ki taqat nahi rakhtay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Yahan sari raat na jaagnay ki rukhsat di ja rahi hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: Nabi(saw)kay paas aik aurat ai. Aap saw nay kaha tumhara beta Fajr may mujhe nahi dikha, kehnay lagi Allah kay Nabi(saw) sari raat tahajjud parhta raha, Fajr say pehlay us ki aankh lag gai. Aap(saw)nay farmaya na us ko tahajjud ka sawab mila na Fajr ka. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Faraiz chor ker naik kaam karaingay to khair nahin milay gee َ NQSJ_AA029_SALSABEEL: * ۚ ن ِ ن ا ْل ُق ْرآ ِ س َر َ م َ فا ْق َر ُءوا َّ َما تَي NQSJ_AA029_SALSABEEL: Pichla us nay maaf kar dya Pus tum itna Quran parh liya karo jitna tum asani say parh saktay ho NQSJ_AA029_SALSABEEL: * ضى َ َ م ْر ُ م ْن ِ ن ُ كو ُ َسي َ م ْ ك َ ْم أَن َ ِعل NQSJ_AA029_SALSABEEL: Wo yeh bhi janta hai kay tum may say kuch bemaar log bhi hon gai َ ن ْ ض ِر ُبونَ فِي NQSJ_AA029_SALSABEEL: * ه ِ َّ ل الل ْ ف ِ َغون ُ اْل َ ْرضِ يَ ْب َت ْ َخ ُرونَ ي ْ م َ وآ َ ِ ض NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur kuch aisay bhi hon gay jo safar kartay hon gai zameen may, talaash kartay hon gay Allah kay fazal or rizq ko NQSJ_AA029_SALSABEEL: Alah ka deen her haal may humara khayal rakhta hay NQSJ_AA029_SALSABEEL: Huzoor ko daikh ker log lambi tahajjud parhtay un ko rukhsat de di gyee NQSJ_AA029_SALSABEEL: * ۖ ه ِ َّ يل الل َ خ ُرونَ ُيقَاتِلُونَ فِي َ وآ َ ِ س ِب NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur kuch aisay hain jo Allah kay raastay may lartay hain, jin ki zindagi may struggle buhut hai NQSJ_AA029_SALSABEEL: NQSJ_REPLAY_FQ: ۡ ** َف ه ِ َ سر ُ ۡمن َ اقرَ ُءوۡ ا َّ َ ما تَي NQSJ_AA029_SALSABEEL: lain To jitna asaani say parh sakain Quran may say utna parh Nabi(saw) ko jab namazion ki safon may pechay say bachon ki ronay ki awaz ati, to Aap(saw) jamat mukhtasar kar detay. Kaha kay may us bachay ki maa ko takleef nahi dena chahta.Yeh daleel hai kay NQSJ_AA029_SALSABEEL: aurtain Nabi(saw) kay pechay jamat say namaz parhti thi. Maghrib,Isha aur Fajr ki. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aap(saw) nay farmaya jab insaan logo kay saath namaz parh raha ho to mukhtasar parhay, aur jab akailay may parh raha ho to lambi parhay. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Isi tarah Aap(saw) nay framaya kay khutbah chota hona chahye, yani Juma ka khutbah buhut lamba nahi ho k pehlay say logon ko thaka do. َ وآ ُتوا ال َّزكَا NQSJ_AA029_SALSABEEL: * ة ِ َوأ َ ص َل َة َ َّ موا ال ُ قي NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur namaz qaim karo aur zakat diya karo aur Allah ko acha qarz detay raha karo yani Allah ki raza kay liye kharch karo. NQSJ_AA029_SALSABEEL: * ۚ سناا َ َّ ضوا الل َ ح َ ه قَ ْرضاا َ ُ وأَ ْق ِر NQSJ_AA029_SALSABEEL: * ه ِ َّ د الل َ ع ْن ِ خ ْير تَجِ ُدو ُه ِ م ُ س ِ موا ِْل َ ْن ُف ِ ما تُق َ ن ْ م ْ ك َ و َ ُ َد NQSJ_AA029_SALSABEEL: Aur jo koi cheez tum aagay bhejo gay apnay nafsoon kay liye us ko paa lo gay Allah kay paas. NQSJ_AA029_SALSABEEL: Allah kay Nabi(saw) nay kaha tum may say koon hai jis ko apnay waris ka maal apnay maal say ziyada pyara ho. Kaha koi nahi. Kaha warison kay maal say muhabbat karnay wala wo hay jo apnay maal ko saint saint kar rakhta hai. Apna maal to wo hai jo apnay haath say agay bhaij diya. NQSJ_AA029_SALSABEEL: * ه َ َّ اس َت ْغ ِف ُروا الل ْ و َ NQSJE_SZ010_Mawa: Aur maghfirat talab karo Allah say,Woh bara maaf karnay wala bakhshnay wala hai NQSJE_SZ010_Mawa: Hum ne kis liyay yeh sab bacha ker rakhliya hay? NQSJE_SZ010_Mawa: Hazrat Omar rz nay aik moqay pay khajoor aur doodh ko mila kar halwa banaya huwa tha. Aik miskeen aagya. Aap nay wo halwa us ko day diya. NQSJ_REPLAY_FQ: َ ه ح ۡيم َ اِنَّ الل ِ َّغ ُفوۡ ر ر Ahlay majlis may say kisi nay un say kaha, yeh bechara to miskeen hai is ko kya qadar is haway ki. Hazrat Omar rz nay kaha, miskeen ka Rab to janta hai may uskay rastay may kya day raha hoon. NQSJE_SZ010_Mawa: Jo hum ne diya Alah ko sab pata hay NQSJE_SZ010_Mawa: Kis dil se diya usee dil se qubool hoga NQSJE_SZ010_Mawa: Hazrat Aisha rz jab koi dirham deti theen to us ko khushboo lagati theen. Kisi nay poocha yeh aap kyon karti hain, to kaha may nay Nabi(saw) say suna hai jab Allah kay naam per koi kisi ko kuch deta hai to sab say pehlay wo Allah kay haath per parta hai. Aur may chahti hoon kay jab mera dirham jab Allah kay haath pay paray to us may say khushboo aarahi ho. NQSJE_SZ010_Mawa: Mufassereen kehtay hain kay is ayat may rizq halal ka tazkirah Allah tala nay mujahideen fi sabeel-lillah kay saath kia hai. To is ki ahmmiyat pata chalti hai. NQSJE_SZ010_Mawa: Nabi(saw) nay farmaya , jo shakhs aik shehr say khoorak ka samaan kisi doosray shehr may lay aata hai aur us din kay bhao kay mutabiq NQSJE_SZ010_Mawa: farokht kar deta hai, us ka martaba Allah taala kay nazdeek shuhada kay brabar hai. Phir aap(saw) nay yeh ayat tialawat ki. NQSJE_SZ010_Mawa: Aik tajir ne apna gandum se bhara jahaz basrah ki taraf bhaija aur wahan ke agent ko likha keh : jis din yeh jahaz basrah phonchay use din isay farokht ker do aura nay walay din kay liyay isay bacha kern a rakho NQSJE_SZ010_Mawa: Ittifaq se jab who jahaz basrah phoncha , gandum ka rate basrah may gira hua tha NQSJE_SZ010_Mawa: Ghalay kay tajiron ne uss agent ko kaha keh agar tum aik hafta intizar karo gay to kaee guna nafa kamao gay NQSJE_SZ010_Mawa: Uss agent nay aik hafta uss ghallay ko na baicha NQSJE_SZ010_Mawa: 3 din may bhao barh gara aur kaee guna nafa mila NQSJE_SZ010_Mawa: Uss nay apnay malik ko khush kernay lay liay bataya keh may nay itna mehnga baich diya NQSJE_SZ010_Mawa: o tajir nay jawaban likha NQSJE_SZ010_Mawa: To NQSJE_SZ010_Mawa: Agar humara deen salamat rahay to humain thora nafa bhi kafi hay too nay hum per baree ziaadte kee NQSJE_SZ010_Mawa: Jis waqt yeh khat tum ko milay, sara maal basrah kay fuqaraa may taqseem kardo NQSJE_SZ010_Mawa: Aur iss ghalay ki zakheera andozi ka jo jurm tum nay kiya may iss kay muakhizay se bach jaaon to mere liay yahi kafi hay NQSJE_SZ010_Mawa: Aur mujhay iss maal kay sadqa kernay se ajr ki koi arzo nahin hay NQSJE_SZ010_Mawa: Imam bukharay kay walid kaha kertay thay: In kay paas caroron ki jaidaad thay NQSJE_SZ010_Mawa: Who qasam kha ker kehtay thay keh meri kamai may aik dirham bhi shubah wali kamaiee nahin hay NQSJE_SZ010_Mawa: Haram nahin shubah bhi nahi business, employment her haal may halal kernay ka hukm hay hours pooray kiyay ya nahin NQSJE_SZ010_Mawa: Ek qol ha:Alah ne aasman per sitaray aur jism may zameer rakh diya hay NQSJE_SZ010_Mawa: Sitaray shaitan se bachatay hain aur zameer gunah se bachata hay NQSJE_SZ010_Mawa: Surah muzammil aik chota sa package de rahi hay NQSJE_SZ010_Mawa: Jitna insan ka dil khobsorat hoga Allah utna hi kaam karaiga NQSJE_SZ010_Mawa: Yeh zaade raah hay Alah ke raastay chalnay walay banday ka NQSJE_SZ010_Mawa: Jis ko jihad fi sabeelillah kerna hay ( aaj ka jihad qalam ka hay) who yeh sifaat apnay andar lain NQSJE_SZ010_Mawa: Khud kay liyay check list banain aur koshish karain yeh addat andar aajain NQSJE_SZ010_Mawa: Aaj dil per quran ki bearish par rahi hay NQSJE_SZ010_Mawa: Kal jab takmeel hojay to insan theekree mitty na bun jay,Allah se dua hay keh who humain theekri mitti bunay se bacha lay
© Copyright 2025 ExpyDoc