QA ? ? ? ? ? ? ? ? QA ? ? Bade Swaal Chhote Jwaab ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? ? Book by: Vishwanath Jangrra ? ? QA ? ? ? ? ? ? ? ? QA Bade Swaal Chhote Jwaab Writer's Knock Ek saal pehle, daas ke mann me khyal aaya ke ek book likhi jaye, jisme aksar insaan ke mann me uthate swaalo ke aasaan se jwab diye gaye ho. Waise bhi ager koi baat swaaljwaab ke roop me ho to her viakti ko jyada akarshit karti hai. Ye book ban ne se pehle ek trial verson hai jo apko diya ja rha hai so that apki feedbacks se isko aur impressive, valueable bnaya jaye. Daas, Satguru Baba Hardev Singh Ji ka shukriya adaa karta hai jo unhone esi mat bakshi aur benti karta hai ke daas ko aur taqat bhakshe so that daas is roop me manvta ki aur mission ki sewa ker paye. Daas ko intejaar rahega apki valueable feedbacks ka. Is book ko SMS language me abhi isi liye likha gya so that her common insaan se feedback li ja sake, final feedbacks ke baad hi is book ko English, Punjabi, & Hindi language me publish karne ka dhyan hai, jinpe bhi daas karya ker rha hai. Daas - Vishwanath ------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------Bade Swaal - Chhote Jwaab "Swaal bada hai ya chhota ye nirbhar karta hai viakti ke aacharan pe" 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 13 14 15 16 17 18 19 20 21 Bhagwan kya hai.. Bhagwan ke naam akal-purkh, nirankar,parmatma, allah, GOD kese pade… Bhagwan ke itne naam pade kyu… Bhagwan ki features kya hai… Kya bhagwan ko dekha, mila aur paya ja sakta hai.... Bhagwan ko kis kis ne dekha hai.. Satguru ki kya jarurt hai… Satguru kesa hota hai…. Satgur ki pehchaan kya hai… Satguru kitne hote hai….. Satguru kya karta hai… Satguru brahm-gyan ke badle kya mangta hai…. Kya satguru se gyan easily mil jata hai… Aaj ke samey me, satguru insaan k roop me nahi aa sakta… Satguru ke paas aa ker mukti ho jati hai…. Guru-nirankar ko kaun pyara hai… Kya bhagwan/satguru kisi k sath bura ker sakte hai…. Kya satguru ko gum hota hai…. Satguru aur bhagwan me kya fark hai… Sant Nirankari Mission kya hai…. Kyu hai SNM unique and best mission. Printed on: February 2013, feedback at [email protected] Bade Swaal Chhote Jwaab 22 23 24 25 26 27 28 29 30 31 32 33 34 35 36 37 38 39 40 41 42 43 44 45 46 47 48 49 50 51 52 53 54 55 56 57 58 59 60 61 62 63 64 65 66 67 68 69 70 Nirankari Baba Hardev Singh Ji puran satguru hai kese. Kyu nirankari ek dusre ke pero ko hath late hai… Manglacharan vichar se pehle kyu gaya jata hai Charna-amrit kya hai… 84 lakh janm kya hai… Insaani janam ka main maksad kya hai… Jeev kya hai… Aatma kya hai… Mann kay hai Karam kya hai Jeev or aatma me kya fark hai… Mukti aur jiwan mukti me kya fark hai…. Jiwan-mukti kya hai…. Satsang kya hai… Sewa kya hai… Simran kya hai… Sewa, Satsang, Simran ka apas me kya connection hai… Satsang, sewa, simran karam-kand nahi ho sakte…. Bhakti science hai ya art… Her shraap me ek vardaan bhi hota hai kese…. Brahm-gyan kya hai… Rehmat kya hai… Sukh kya hai.. Dukh kya hai.. Anand kya hai… Bakshish ka kya matlab hai Bandgi kya hai… Maya kya hai… Insaan ke dukho ka karan kya hai… Kya science dharam ki dushman hai…. Kya bhakti karne ki ek fix umar hoti hai…. Body chhodne k baad aatma khooni nadiyo, registano me se gujarti hai Hindu kise kehte hai.. Sikh kise kehte hai.. Musalman kise kehte hai.. Bhoot, prait kya hai Pehla insaani janam milta hai ya aur juniaan… Nirankari kise kehte hai.. Lord Ram ji ne banvas ke kuch samey baad Mata Sita ji ko kyu chhod diya…. Dropti ke sath cheer-haran jesi ghatna kyu hui…. Varat kyu rakhe jate hai… Pipal ke paed ki puja kyu hoti hai…. Kya beekh deni chahiye…. Brahma vishu mahesh kaun hai… Suraj ko pani dene ka bhav kya hai… Kyu 6 din kaam karne ke baad satwe din bhav Sunday ko chhutti hoti hai Namaste ka kya meaning hai…. Sat shri akal, waheguru ka kya meaning hai… Waheguru ka kya meaning hai Printed on: February 2013, feedback at [email protected] 1 Bade Swaal - Chhote Jwab 1 Bhagwan kya hai.. Bhagwan ek supreme power hai, jisne is saari srishti ko bnaya. Is srishti ki rachna me pehle jeev aur akaash ko bnaya, akash se hawa bnai, hawa se agni, agni se pani aur pani se dharti ko bnaya. Srishti ki her cheez bhagwan ki rachna hai, yahi isko chala rha hai aur isi ke hath me her cheez ka ant hai. 2 Bhagwan ke naam akal-purkh, nirankar,parmatma, allah, GOD kese pade… Sabse pehle to daas ye kehna chahega ke yeh sbhi naam sirf naam nahi hai, yeh sab visheshtaein hai. Sirf naam kehna uchit nahi hoga kyunke naam to kai ese bhi hote hai jinka koi matlab nahi hota magar is supreme power ke her naam ka matlab hai jese ke: Parmatma = parm + aatma bhav esi aatma jo sabse saresthh hai, jiski ansh hi sbhi jeevo me smai hai. Akal Purkh bhav ye (bhagwan) esa purkh hai jispe kaal(samey) ka koi asar nahi. Nirankar bhav jiska koi aakar na ho. Her pehlu pe najar marne ke baad hume pata lagta hai ke sirf bhagwan hi hai jiska koi aakar nahi isliye bhagwan ko he nirankar kehte hai. Nirankar bhagwan ka hi ek naam hai, isse is tarah bhi samja ja sakta hai. Allah = Allah shabad Arabic definite article al- "the" aur ʾilāh "deity, god" jiska matlab hai al-lāh "the [sole] deity, God". GOD = Bhagwan ko english language me GOD kaha jata hai. GOD shabad english k teen alag alag words ki short form hai jese k G from Generator, O from Operator, D from Destroyer. Bhagwan hi puri srishti ko bnata hai, chalata hai fir uska ant bhi kewal bhagwan swaem hi ker sakta hai ,is tarah Bhagwan ka naam GOD pada. Bhagwan 2 words se bna hai "bhaga+van". Bhaga means malik and van means sari banaspati. Jo sari banaspti ka malik hai usko bhagwan kaha jata hai. Bhagwan ke naam ke letters se bhi esa hi pta chalta hai BH means bhumi, A means agni, GA means gagan, WA means wayu aur N means neer. 3 Bhagwan ke itne naam pade kyu… Iske do karan hai, pehla jese ek insaan ke kai naam hote hai, usko jaan ne wale usko pyar se alag alag naam se bulate hai, isi tarah bhagwan ko sbhi apni apni pasand ke naam se bulate hai. Dusra karan kuch swarthi logo ne apni alag kmai ke liye iske nye naam de ker isko auro se alag karte aaye hai. 4 Bhagwan ki features kya hai… Bhagwan ki features hai k ye sarv-vyapak, sarv-shaktimaan, nirankar hai aur iska na janam hua hai na iski death hogi. Isko jalaya ni ja sakta, bhigoya ni ja sakta, udaya ni ja sakta, toda ni ja sakta, hilaya ni ja sakta, 5 Kya bhagwan ko dekha, mila aur paya ja sakta hai.... Jisne is sari srishti ki rachna ki usko milne ke liye to her koi utsuk hona hi chahiye. Ye her jagah hai to bhav isse mila ja sakta hai magar milne ki santushti tab hoti hai jab hum usko pehle dekhe so pramatma dekha bhi ja sakta hai. Jo cheez is srishti ki her cheez me smai hai usko dekhna bhala kese namunkin ho sakta hai bus uske liye proper knoweldge ka hona jruri hai. Jese ek page pe khichi lakir kisi ko lakir lagti hai, kisi ko abc ka chhota "l" lagta hai, kisi ko maths ka "1" lagta hai, unke alag alag gyan ke karan, isi tarah pramtma her jagah hai to isse dekhna namunkin nahi ye sabko dikhta hai magar gyan ke karan pehchan ni hoti aur wo pehchan/gyan satguru se milti hai. 6 Bhagwan ko kis kis ne dekha hai.. Bhagwan ko her us insaan ne dekha hai aur dekh rha hai jo bhi puran satguru ki sharan me aaya. Satguru hi bhagwan ke darshan krata hai jesa ke Lord Krishana ne arjun ko apna virat swaroop dikhaya, jesa ke Guru Ramakrishana ne swami vivekananda ko bhagwan ke darshan kraye, jesa ke Guru nanak ji ne jab sadhuo ko khana khilya jisse "Sacha Sodha" ke naam se jante hai, tab us samey guru nanak ji ne nirankar ke darshan kiye. baba farid, meera bai etcko darshan hue. Isi tarah aaj ke samey me satguru baba hardev singh ji bhagwan ke darshan karne wale chah-waan insaan ko ek pal me bhagwan ke darshan krate hai. 7 Satguru ki kya jarurt hai… Printed: February 2013, Feedback at: [email protected] 2 Bade Swaal - Chhote Jwab Satguru bhav wo guru jo sat ka gyan de. Jis tarah duniyawi ilam pane ke liye guru ki jrurat padti hai ussi tarah bhagwan ka gyan pane ke liye bhi guru ka hona jruri hai. Ager koi bhi gyan bina guru ke mil sakta hai to ye mana ja sakta hai ke Bhagwan ke gyan k liye bhi guru ki jrurat nahi magar her taraf nigah marne se pata chalta hai k kisi bhi prakar k gyan ke liye guru ki jarurt hai. 8 Satguru kesa hota hai…. Satguru kesa hota hai ye samjhne se pehle ye soche k guru kesa hota hai. Her koi kahega ke guru insaan ke roop me hota hai chahe wo khud Maa-bhap ya koi aur insaan hi kyu na ho. Isi tarah satguru bhi insaan ke roop me hota hai jese Lord Rama, Lord Krishan, Hajarat Muhammad Sahib, Jese Christ, Guru Nanak dev ji se le ker Guru Gobind Singh ji, Mahatma Budh, Sant kabir, Baba Farid, Bulleh Shah, Sant Ramakrishna, Swami vivekananda etc sbhi panch putle k sadharan roop me hi duniya me aaye. 9 Satgur ki pehchaan kya hai… Satguru dekhne me bilkul waisa hota hai jese aur insaan. Isliye iski pehchaan ka kewal ek hi pramaan hai, wo ye k satguru ek pal me bhagwan ke darshan kra ke iska (bhagwan) gyan deta hai. 10 Satguru kitne hote hai….. Ek samey me kewal ek hi satguru hota hai puri srishti me. Guru anek ho sakte hai, satguru ke gursikh anek ho sakte hai magar satguru 2 ya anek nahi ho sakte. 11 Satguru kya karta hai… Satguru insaniat ka path padata hai. Ye path wo brahm-gyan de ker padata hai. Her insaan ko ek jesa gyan deta hai aur sbhi ko prem, vinamrta, sam-drishti se rehne ko kehta hai. Jese jese iska pdaya path koi yaad rakhta hai waise waise us insaan me agyanta khatam hoti rehti hai bhav insaniat badti hai to burai apne app kum hoti chali jati hai. 12 Satguru brahm-gyan ke badle kya mangta hai…. Satguru brahm-gyan ke badle insaan se uska eham (ego) mangta hai. Chahe wo aaj ke samey me 5 pran ke roop me manga jata hai aur puratan samey me eham ko mangane ke tarike aur the. 13 Kya satguru se gyan easily mil jata hai… Satguru se gyan puran roop me tbhi milta hai jab insaan apne eham ko fully khatam karta hai. Jitna jitna eham insaan me khatam hota hai utna utna usko bhagwan ke darshan her samey hote hai aur uska jiwan anandmai hota hai. 14 Aaj ke samey me, satguru insaan k roop me nahi aa sakta… Itihas pe najar dale to yeh 100% sabit hota hai k satguru hamesha insaan ke roop me hi aaya hai jese ke kbhi Lord Ram, Krishan ban ke, kbhi Jesus christ, Mohammad sahib ban ke, kbhi Guru Nanak dev ji aur Guru Gobind Singh ji k roop me aaya hai. So satguru hamesha insaan ke roop me hi aata hai aur aata rahega.. 15 Satguru ke paas aa ker mukti ho jati hai…. Satguru ke paas aa ker mukti milti hai, jab satguru ki her baat ko mana jata hai. Ager satguru ki kuch baatein manle aur kuch na maane to mukti pe prashan-chin "?" lag sakta hai. Jesa ki ninda ki adat aksar lagi rehti hai to ninda karne wale ko to mukti mil hi nahi sakti jesa ke likha hai. GGS - Sant ka nindak bakhsha na jaye.. 16 Guru-nirankar ko kaun pyara hai… Hum aksar padte hai ke hum sbhi ek pita-pramatma ke bache hai so guru-nirankar ko sbhi jeev pyare hai beshuk wo usko jaan ne wale hai ya nahi. Bus satguru ki rehmat un per hoti hai jinme samarpan bhav hota hai. 17 Kya bhagwan/satguru kisi k sath bura ker sakte hai…. Iska jwab khud soche ke, kya ek adarsh pita apne bacho ke sath, ek adarsh raja apni praja ke sath, ek adarsh teacher apne student ke sath bura ker sakte hai…. Nahi similarly bhagwan/satguru bhi nahi. Jo bhi insaan ke sath bura hota hai wo uske khud ke past ke karmo ke karn ya usko kuch sikhane ke liye hota hai. Printed: February 2013, Feedback at: [email protected] 3 Bade Swaal - Chhote Jwab 18 Kya satguru ko gum hota hai…. In reality, satguru ko koi gum nahi hota, jis tarah bhagwan ko koi gum nahi hota. Satguru sirf manvata ka updesh de ker apna farj pura karta hai isliye satguru ko koi khushi/gum etc nahi hoti. Iski physical appearance just ek maya ka hi roop hai. 19 Satguru aur bhagwan me kya fark hai… Jab dharti pe dharam ki haani hoti hai tab bhagwan khud insaan ka roop le ke dharti pe aata hai aur wahi insaan satguru ke roop me jana jata hai. Ek pehlu se dekha jaye to in dono me koi fark nahi. Ager fark hai to sirf aakar ka. 20 Sant Nirankari Mission kya hai…. SNM jesa ke naam se pata chal raha hai ke ye ek mission hai. Mission hai brahm-gyan ke duara manvata ka psaar. Ye koi dharam, panth, community etc nahi hai, ye ek dharmik vichardhara hai. Mainly aayiye jante hai SNM ke chief HH kese define karte hai SNM ko" SNM prabhu-pramatma ki jaankari aur puri manvta se pyar, dya aur kruna..." 21 Kyu hai SNM unique and best mission. Mukhya karan hai Kyunke 1.Ye koi dharam nahi, panth nahi. 2. Iska sanchalan khud waqt ka satguru ker rahe hai. 3. Kewal is mission me bhagwan ko dikhane ki baat kahi bhi jati hai aur bhagwan k darshan kraye bhi jate hai. 4. Isme her saint ek dusre ke pairo pe naman karta hai jo vinamrta ka sabse bada example hai 5. Sbhi saints khud khana khane se pehle dusro ko bhog lagate hai jisse ek pita-pramatma ki aulad hone ka praman milta hai. 22 Nirankari Baba Hardev Singh Ji puran satguru hai kese. Nirankari Baba Hardev Singh Ji aaj ke samey me bhagwan k sakshaat darshan krake iska gyan dete hai isliye ye puran satguru hai. 23 Kyu nirankari ek dusre ke pero ko hath late hai… Pero ko hath lgane ka bhav ek respect hai. Jese ke bado ke pero ko hath lgate hai kyu? Kyunke wo bade hai unke paas gyan hota hai. Esi tarah nirankari jab dekhte hai ke dusre insaan ko brahm-gyan hai isliye wo respectable insaan hai so wo uske pero ko hath late hai. Ye sirf aaj ke nirankari nahi karte, purane samey me bhi esa hota tha. GGS - "charan sadh ke dhoye dhoye pio" 24 Manglacharan vichar se pehle kyu gaya jata hai In Sanskrit, Mangala means auspicious (or lucky) and Charana means conduct of life. 1. िकसी का कायर् ीगणेश करने से पहले पढ़ा जानेवाला कोई मांगिलक मंत्र, लोक या प यमय रचना। 2. ग्रंथ के आरं भ म मंगल की कामना तथा उसकी सफल समाि त के िनिम त िलखा जानेवाला प य। Manglacharan vichar se pehle gaya jata hai so that sbhi saints mann ko ekagrit ker paye vichar ki taraf. 25 Charna-amrit kya hai… Jab Gursikh, Satguru ke charno ko shardha-poorvak paani se dhota hai tab charno ko dho ker bana pani "charna-amrit" kehlata hai. Charna-amrit mahapursho ka dhyan karne se nahi banta, ye satguru ke prati gursikh ki bhavna ka prinaam hota hai. 26 84 lakh janm kya hai… Hmare dharmik granth batate hai ke, aatma 83,99,999 joono me se nikalne ke baad insaani janam me aati hai jo 84 lakhvi jooni maani gyi hai. Insaani janam me ager aatma pramtma ko paa leti hai to insaani sharir chhodne ke baad ye bhagwan me mil jati hai otherwise fir 84 lakh ke chakar me chali jati hai. Averagly 365 saal lag jate hai, 84 lakh joono ka ek chakar khatam karne me. 27 Insaani janam ka main maksad kya hai… Printed: February 2013, Feedback at: [email protected] 4 Bade Swaal - Chhote Jwab Insaani janam ka main maksad bhagwan ki prapti hai. Khana-peena, kaam karna, bacho ka palan-poshan karna etc ye to aur joono me bhi hota hai,sirf pramtma ki prapti insaani jiwan me mumkin hai aur yahi iska maksad hai. 28 Jeev kya hai… Scientifically, Jeev bhav jo jinda ho. Jab kisi body me saans chal rahe ho tab tak wo jeev ka roop hai.Aur ek na ek din her body me saans khatam hote hai isiliye jeev ko maya kaha gya hai. Aatma jeev nahi hai kyunke aatma na janam leti hai aur na marti hai. 29 Aatma kya hai… Aatma pramatma ka ek ansh hai. Pramtama ka ansh hone k karn aatma ka bhi koi aakar nahi, isko koi jala ni sakta, hila ni sakta, kaat ni sakta, bhigo ni sakta. Aatma na janam leti hai aur na marti hai ye kewal smaati hai pramatma me. Aatma ke 84 lakh janam nahi hote. Janam to body ke hote hai, her baar aatma, body namak kapda pehnti (janam leti hai) hai aur utarti (marti) hai. 30 Mann kya hai Mann aatma ka he dusra naam hai. Mann aur dimag ek nahi hai inme fark hai. Dimag physical body ka ek part hai jisko dekha ja sakta hai, jiski photo li ja sakti hai magar mann ke sath esa nahi ho sakta. 31 Karam kya hai karam wo hai jo her jeev ker rha hai. Khana, peena, mehnat karna, yha tak ke saans lena bhi ek karam hai. Karam 3 tarah ke hote hai, achhe, bure aur nish-kaam karam. Achhe karam sone ki berri aur bure karam lohe ki berri hai. Jo karam nishkam bhav se hote hai wo kisi bandhan ka karan nahi hote. 32 Jeev or aatma me kya fark hai… Jeev is living entity and aatma is immortal entity. Jiva, the individual soul, refers to the living entity which is embodied in a physical form, produced by material nature. Brahm gyan jeev ko hota hai. Jiske baad wo aatma ko sahi direction me jane deti hai. Aatma ek power ki tarah hai aur jeev uska sanchalak hai. 33 Mukti aur jiwan mukti me kya fark hai…. Mukti bhav shariro me aane jane se mukti, jiwan-mukti bhav jeete jee vikaro se mukti. Vikaar jese kaam, krodh, lobh, moh aur hankar. 34 Jiwan-mukti kya hai…. Jiwan-mukti ko samjhne ke liye ye yeh samjhna jruri hai ke mukti kya hai. Kisi insaan ko bhut tention hai kisi cheez ki aur wo tention uski jab khatam hoti hai us samey wo mukti ka ehsaas aur mukti ko enjoy karta hai bhav mukti ek enjoyable avastha hai. Jiwan-mukti bhav jiwan me rehte rehte jiwan se mukat hona. Kai log ye samjhte hai jiwan khatam hone k baad jiwan-mukti hoti hai magar sochne wali baat hai k ager jiwan hi khatam ho gya to mukti ka enjoy kese krenge. 35 Satsang kya hai… Satsang ke 2 roop hai. Pehle roop me Satsang ka bhav Sat (pramatma) ka sang hai jo tab hoga jab insaan sat k durse roop yani sant(satguru) ke paas aata hai fir brahm-gyan leta hai aur fir nirantar sant (mahapursho) k sang me reh ker, satsang ke pehle roop se juda rehta hai. Asal me jiwan-mikti ka sabandh pehle roop se hai. 36 Sewa kya hai… Sewa ek nishkam bhav se kiya hua karam hai jiske karan wo karam, karam na reh ker ek rehmat ban jata hai. Printed: February 2013, Feedback at: [email protected] 5 Bade Swaal - Chhote Jwab 37 Simran kya hai… Simran ek ehsaas hai jo tab banta hai jab insaan bhagwan ko dekhta hai aur samarpit bhav se jiwan jeeta hai. Mokhik simran ek landline madhyam hai apni aatma ka connection pramatma se bnane ka. Jab mobile se achhi tarah se baat nahi hoti tab landline se clear conversation hoti hai. Isi tarah jab mann jyada bhatke tab landline/mokhik simran se connection bnaya jata hai. 38 Sewa, Satsang, Simran ka apas me kya connection hai… Television pe entertainment dekhne ke liye signal ki jrurat hoti hai. Us signal ko pane k liye stone,stick aur antina ki jarurt hoti hai. Isi tarah bhagwan se connection bnane ke liye Sewa roopi stone, satsang roopi stick aur simran roopi antina ki jarurt hai. Bina stone ke stick nahi khadta aur bina stick k antina nahi tikta aur bina antina ke network nahi aa sakta. So sewa, satsang, simran ka apas me bhut connection hai. Kisi ek ki kami ke karan bhakti adhuri rehti hai. 39 Satsang, sewa, simran karam-kand nahi ho sakte…. Satsang, sewa, simran karm-kand ho sakte hai ager ye sahi bhav se nahi ho rahe. Ager sirf attendence ke roop me satsang me jaya ja rha hai, sirf duniyawi sukho ke liye sewa, simran ho rha hai to ye sab karm, karmkand ban jate hai. 40 Bhakti science hai ya art… Bhakti science aur art dono hai. Science ka matlab knowledge jo study aur practical ker ke milti hai. Bhakti me hum holy scriptures ki study karte hai fir satguru se gyan le ker uska practical roop dekhte hai. Art bhav kala. Gyan lene ke baad satsang,sewa, simran karna ek kala ka roop hai. 41 Her shraap me ek vardaan bhi hota hai kese…. Holy bible ke according jab insaan bhagwan ki kahi baat ke ulat chala tab bhagwan ne insaan ko shraap diya ke abse wo apne hatho se mehnat ker ke khayega, kuch bhi usse sirf mangne se nahi milega. Dekha jaye ye shraap me bhi ek vardaan hai, isse insaan swabhi-maani bana. Aurat ko shrap mila ke usko physical pains jhhelni hogi, iss shraap me bhi ek vardaan hai, kyunke inhi physical pains ke karan ek aurat Maa ban ne ka sukh leti hai. Saap ko shraap mila ke usko her koi dekh ke marne ki koshish krega; iss shraap me bhi ek vardaan ye hai ke ager saap ko mara nahi jayega to wo khud kbhi nahi mar sakta. Saap ki ek feature hoti hai ke jab uski chamrri khrab ho jati hai tab uspe khud hi nayi chamrri aa jati hai so is karan uska is joon se chhutkara namunkin tha. 42 Brahm-gyan kya hai… Brahm-gyan koi cheej nahi hai yeh ek concept hai jisme bhagwan ko dekhne se le ker bhagwan ko pane ki vidhi hai jo satguru samjhate hai. 43 Rehmat kya hai… Rehmat satguru duara apne gursikh ko diya hua fal hai. Ye usko milta hai jisme samarpit bhav hota hai. Amirigribi, sukh-dukh rehmat ka part nahi hai.Duniawi khushiyaan to satguru apne gursikho ko bhakti ke sath sath runge me deta hai. 44 Sukh kya hai.. Jab koi kaam / environment hmare according ho jaye wo sukh hai… 45 Dukh kya hai.. Jab koi kaam / environment hmare according na ho wo dukh bann jata hai… 46 Anand kya hai… Anand ek bhav hai jo jab jab aata hai tab tab insaan sukh-dukh se upar uth ke jeeta hai. Anand ka sarot satsang hai. 47 Bakshish ka kya matlab hai Printed: February 2013, Feedback at: [email protected] 6 Bade Swaal - Chhote Jwab Baksheesh shabad Persian word ( بخششbakhshesh) se bana hai. Sanskrit me isko "Bhiksha" or "Bheeks" bhi kehte hai. 48 Bandgi kya hai… Bandgi bhav ek bande ko jesi jindgi jini chahiye. Asal me waqt ke satguru ke hukamo ke anusar jindgi jina hi bandgi hai. 49 Maya kya hai… Bhagwan ko chhod sab kuch maya hai. Asal me maya hmare mann ki samajh pe nirbhar hai. Ager mann gurmat me nahi ranga to satguru ki kaya bhi ek maya hai. Aur ager mann gurmat me ranga hai to maya kuch nahi sab kuch bhagwan hai. 50 Insaan ke dukho ka karan kya hai… HH said" insaan ke sbhi dukho ka karan uski joothi shaan hai" 51 Kya science dharam ki dushman hai…. Nahi, science to dharam ki sehyogi hai. Satguru hmesha scientific tarike se bhagwan ka gyan insaan ko dete hai. Science to gyan ko samjhne me bhut upyogi hai. Yeh galat fehmi hai k scientist / doctor God ko nahi mante, aksar suna jata hai doctor ke mooh se operation karne se pehle ke "hum to apni taraf se puri koshish krenge aage bhagwan ki marji" 52 Kya bhakti karne ki ek fix umar hoti hai…. Nahi, bhakti kisi bhi umar me ki ja sakti hai. Jesa k bhakat pralahd, dharoov ne bachpan se shuru ki, meera bai ne jwani me shuru ki, baba farid ne budhape me ja ke shuru ki. Bhakti ki shuruat to satguru se milne ke baad shuru hoti hai. 53 Body chhodne k baad aatma khooni nadiyo, registano me se gujarti hai Aatma ke liye body ek cloth ki tarah hai. Jis tarah hum daily cloth change karte hai usi tarah aatma ek fix samey ke liye ek joon/body me jati hai, jab time khatam ho jata hai tbhi us body ko chhod ke dusri joon/body me chali jati hai…Aatmasirf smaati hai jab usko mukti milti hai. So usse koi khooni nadiyo, registano me se nahi gujarna padta. 54 Hindu kise kehte hai.. "The land created by the gods which stretched from the Himalayas to the Indu (i.e. Southern) ocean is called Hindusthan, with the िहंद ु (Hindu) mentioned in word िहंद ु थानं (Hindusthan)."[3][4] The Persian term was further loaned into Arabic as al-Hind referring to the land of the people who live across river Indus, and into Greek as Indos, whence ultimately English India.[5] By the 13th century, Hindustān emerged as a popular alternative name of India, meaning the "land of Hindus".[6] 55 Sikh kise kehte hai.. Sikh means disciple of guru, jo guru ki sikhya pe chale… 56 Musalman kise kehte hai.. Musalman means jiska imaan musal ho,, 57 Bhoot, prait kya hai Bhoot, priat bhi 84 lakh junio me se ek juni hai. Jab aatma mukat nahi hoti to wo 84 lakh junio me chakar lgati hai. 58 Pehla insaani janam milta hai ya aur juniaan… Aatma ko sabse pehle insaani janam hi milta hai. Jab wo us janam me mukti nahi pati to usse sjaa ke roop me 84 lakh junio me jana padta hai. 59 Nirankari kise kehte hai.. Nirankari means jinse nirankar ko pa liya hai. 60 Lord Ram ji ne banvas ke kuch samey baad Mata Sita ji ko kyu chhod diya…. Printed: February 2013, Feedback at: [email protected] 7 Bade Swaal - Chhote Jwab A general narration of Ramayana says that Sita later lived in her father's kingdom of Mithila with her sons Lava and Kusha as per the North Indian (especially in Uttar Pradesh and Bihar) custom that children be brought up in their nanihal, or maternal grandmother's place. Sita and her sons later live in Valmiki's ashram for the boys' education and military training. 61 Dropti ke sath cheer-haran jesi ghatna kyu hui…. Pehla karan ye ke usne ek samey me, kuch saints jo river me naha rahe the unke kapde utha liye the tab un saints ne usko shraap diya tha ke uski bhi besti ese hi hogi. Dusra iska karan ke usne droydhan ko kaha tha "Andhe ki aulad andhi" to iska bandla lene ke liye droydhan ne yeh agaynta bhara kaand kiya tha. 62 Varat kyu rakhe jate hai… Purane samey me log dharam ko jyada mante the ya esa bhi kaha ja sakta hai ke wo dharm ke naam se jyada darte the, isliye us samey guru aam insaano ka jiwan spiritually, socially strong bnane ke liye jyada tar karmo ko dharm ke sath jod dete the. Varat rakhne se insaan healthy strong banta hai isliye unhone is karam ko dharam ke sath jod ker prachar kiya. Nirankari mission is drishti se varat, such-sanjam ki respect karta hai. 63 Pipal ke paed ki puja kyu hoti hai…. Scientifically ye prove hua hai ke sirf pipal ka paed ek esa paed hai jo 24 hour oxygen deta hai isliye isko sabse mulya-waan mana jata hai aur respect di jati hai magar logo ne isko pooja ke sath jod ker ek karmkand bna diya. Iski respect pooja ke roop me na ho ker, proper care ker ke ki ja sakti hai. 64 Kya beekh deni chahiye…. Beekh mangne wala ager jyada handicap ya jyada bajurg hai to beekh dene me koi buri baat nahi. Ager beekh kisi young ya tandrusat insaan ko di ja rahi hai to wo mere khyal se ek paap hai kynke beekh lete lete uski (bheekhari) adat bnane me hum jese uska sath dete hai. 65 Brahma vishnu mahesh kaun hai… These are aspects of one Bhram, the way you are son to your mother, husband to your wife and father to your child. All these relations are name given to different aspects, but the person behind these relations is the same. So there is no difference in create, sustain and absorb, as they are interdependent. No absorption means no creation. No creation means no sustenance. No substance means no absorption. In simple words, it is one process which has been broken into three. 66 Suraj ko pani dene ka bhav kya hai… Suraj ki taraf mooh ker ke ek sahi angel se pani fenkne se eyes ki roshni badti hai so suraj ko pani nahi diya jata, asal me healthy bna jata hai. Purane samey me log dharam ko jyada mante the ya esa bhi kaha ja sakta hai ke wo dharm ke naam se jyada darte the, isliye us samey guru aam insaano ka jiwan spiritually, socially strong bnane ke liye jyada tar karmo ko dharm ke sath jod dete the. Nirankari mission is drishti se in karmo ki respect karta hai. 67 Kyu 6 din kaam karne ke baad satwe din bhav - Sunday ko chhutti hoti hai According to Bible. God ne puri srishti ki rachna 6 days me ki aur isiliye 7th day ko holiday ke roop me celebrate kiya jata hai. 68 Namaste ka kya meaning hai…. Namaste shabad Sanskrit k do shabdo se bna hai - "Namah bhav jhukna"aur "Te bhav app". So namaste ka matlab k respectfully sahmne wale k aage jhuk ker wish karna. 69 Sat shri akal, ka kya meaning hai… Sat Shri akal bhav bhagwan sat-sacha, shri-pujanyog, akal-samey se rehat hai. 70 Waheguru ka kya meaning hai Waheguru ka matlab hai k guru ji app dhan ho. Jese hum kisi k aage respectfully Mr. Shri lagate hai, usi tarah guru ke aage "Wahe" shabad lga k guru waah hai bhav dhan hai. "Thanks" Printed: February 2013, Feedback at: [email protected]
© Copyright 2024 ExpyDoc