Script in English - Ram Leela NJ

Scene Number & Name
Scene Number & Name
1.
8.
Bali – Sugreev
2. Parvati Pooja by Seeta
9.
Jamwant
3. Swayamvar/Parushuram scene
10. Lankini
4. Kop Bhavan
11.
5.
Bharat Milaap
12. Angad
6.
Seeta haran
13. Ravan Vadh
7.
Seeta Ki Khoj
Brahma Vishnu
October 25, 2014
Page
1 of 22
Ashok Vatika
www.RamLeelaNJ.com
Scene 1 : Brahma – Vishnu
Brahma
Vishnu
Lakshmi
Shrihit
Saxena
Paarth
Garg
Kusha
Krishna
Indra
Shreya Rawat
Vayu Dev
Varun
Maitreyi Sinha
Surya Dev
Agni Dev
Vaibhav Garg
Narad
Anant
Rathore
Anushka
Trivedi
Shrey
Agarwal
Dharti
Shruti
Agarwal
Stage Props: Flowers, Mukut (Bramha), Narads Manjira
Brahma:
Pranam Prabhu!
Vishnu:
Pranam Brahmaji!
Lakshmi:
Pranam Brahmaji!
Brahma:
Pranam Devi
Brahma:
Hey Sachidanand! Hey Srishtipalak!
Prithvi ke uddhaar ka samay aa gaya hai.
Prabhu – aap apne manohari roop mein prithavi par avatar lo.
Aap apni saari kallao ke saath dharti par avatar le Sachidanand!
Indra:
Pranam Prabhu!
Paapi Ravan ke paap ki jwala mein yeh sara sansar jal raha hai.
Raksha kijiye Prabhu! Swarg lok aur prithavi lok – dono ke sanchalan
mein nirantar baddhaye prakat ho rahi hai. Dev lok mein bhi devta apni
shaktiyon ka upyog karne mein asamarth hai.
Raksha kijiye Prabhu!
Varun:
Hey Prabhu! Ravan ke karan dharti se jal sookhta ja raha hai. Ravan
ke atyachaar ki jwala se dharti trahi trahi kar rahi hai. Van ke ped
paudhe nasht ho rahe hai. Jan-jeevan sankat mein hai. Hamari sahayta
kijiye Prabhu!
Agni Dev: Param Prabhu! Ravan ke paap ke karan poori dharti traahi
Traahi kar rhi hai - aur mai’n asamarth hoon. Sachidanand sahayta
kijiye!
Vayu Dev: Pranam Prabhu - Ravan ki mayavi shaktion ke karan hamari shakti
ksheerna ho Rahi Hai! Rakchha Kijiye Prabhu Rakchha Kijiye!
Surya dev: Pranam Prabhu – Ravan ke durachar se hamara suryodaya aur
suryast ka sanachalan bhi theek samaya per nahi hot raha hai.
Sahayta kijiye Prabhu – sahayta kijiye!
October 25, 2014
Page
2 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Narad:
Pranam Parameshwar!
Sare devi devta Ravan ke atyachar ke karan shristi ke sanchalan
mein a-samarth hai! Raksha kijiye Prabhu. Ab samaya aa gaya hi
ki aap dharti par avtarit ho aur dharti ka kalian kare. Yeh karya aap
ke atirikt asambhav hai. Kripa kijiye Shri Hari kripa kijiye!
Dharti:
Pranam Jagdishwar!
Aapki srishti ka bhar dharan karna mera dharm hai.
Jab dharm ki jagah adharm ka raaj hota hai – to adharm se
Anaachar, aur anaachar se bhrashtachar aur paap hota hai.
Mera sharir paapki jwala mein jal raha hai.
Vanaspati aur ann-jal ke utpadan mein badha ho rahi hai.
Jan jeevan sankat mein hai.
Main apne putro ka palan karne mein a-samarth hu.
Meri raksha kijiye Prabhu! Meri raksha kijiye!
All:
Hamari raksha kijiye Prabhu – hamari raksha kijiye!
Vishnu and Lakshmi stand and give blessings!
Vishnu:
Tatha-s-tu! Hum apne manohari roop mein ayodya mein avatarit honge
aur is dharti ka klyan karenge.
October 25, 2014
Page
3 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 2 - Parvati Pooja by Seeta
Seeta
Kusha Krishna
Parvati
Shreya Rawat
Stage Props: Thaali (Pooja), Flowers
Seeta is worshipping Mata Parvati – bhajan playing in background.
Ganesh Ji for Ganesh Vandana
October 25, 2014
Page
4 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 3 - Swayamvar/Parushuram scene
Janak
King 1
King 2
King 3
Sunayana
Sunayana’s
Sister
Ankit
Tumuluri
Advait
Gattu
Som
Srivastava
Aditya
Dubey
Shreya
Rawat
Teesha
Kaw
King 8
King 5
Rohit
Karthickeyan
Konark Adya
King 6
Aryan Rawat
King 10
King 7
Vivek
Tumuluri
Shrihit
Saxena
Love
Krishna
King 11
King 4
Parashuram
Vishwamitra
King 9
Aniketh
Bukka
Anuraag
Bheemreddy
Anudeep
Bheemreddy
Ram
Paarth Garg
Lakshman
Mukund
Chanchlani
Seeta
Saheli
1
Saheli
2
Saheli
3
Saheli
4
Saheli
5
Kusha
Krishna
Edha
Gupta
Maitreyi
Sinha
Anisha
Mishra
Stage Props: 20 Chairs, Dhanush, Garland, Thaali
Narration:
One by one, all the kings have tried unsuccessfully to lift the dhanush.
Maharaja Janak in desperation gets a little angry at the dilemma he finds himself in.
If no one can lift the bow, then Seeta remains unwed.
If he changes the condition of her marriage, then his keerti gets maligned as his word gets
tainted.
Janak:
Desh videsh se aye huay Gurujan, Rajao aur Maharajao ka hum
swagat karte hain.
Ab hum Seeta Swayamvar ke arambh ki goshna karte hain.
(One by one – several kings try to lift the dhanush, unsuccessfully.)
1st King:
Arre – yeh bhi koi cheez hai – main abhi utha leta hun…
2nd King:
Itna bhari to nahi lagta…main abhi uthata hun….
3rd King:
Yeh bachon ka khel nahi – yeh to mujh jaise balwaan ka kaam
hai….
4th King:
Yeh to koi mayavi dhanush lagta hai…chalo dekhte hai…
5th King:
Ainna mushkil te nai ho sakda – mai hunne chuk dena isnu…
6th King:
Apni maa ka doodh piya hota tabhi to uthate, Ha Ha Ha…
Ab mein tumhe dikhata hu kaise uthaya jata hai.
7th King:
Mein hu maharaja phook singh ka beta phook chand.
Is dhanush ko to mein ek hi phook mein utha dunga.
8th King:
Bas nikal gayi phook, dekho mein batata hu kaise uthaya jata hai.
October 25, 2014
Page
5 of 22
www.RamLeelaNJ.com
9th King:
Yeh dhanush uthane aye the, Ho gayi na sitti bitti gul.
10th King: Kabhi dhanush chalaya ho to dhanush utha pao na!
Gulli dhanda khelne wale dhanush uthane aye hai, hato mein uthata hu.
11th King: Kiska swayamwar kis se hona hai pehle se hi tai hai.
Jab swayamwar hi mere saath hona hai, to khatmalo ko kyo
sandesh bheja?
Janak:
Kya is sabha mein koi bhi aisa nahi jo is dhanush ko utha sake?
Kya is sabha mein koi bhi veer nahi raha?
Lakshman: Maharaj!
Jis sabha mein ek bhi Suryavanshi ho – waha par aise shabd bolna
uchit nahi hai!
Agar mere bhaiya ki agya ho – to main is poori dharti ko utha ke
gend ki tarah ucchal kar fenk sakta hun!
Janak:
Mera kisi ka apmaan karne ki iccha nahi thi.
Agar kisi ko aisa laga ho – to mujhe chhama karna.
(Vishwamitra asks Ram to go ahead now…Ram gets up and pranams
Vishwamitra.)
1st King:
2nd King:
3rd King:
Lo – lagta hai ke cheenti ke bhi par nikaal aaye hai.
Laughs…..
Lagta hai ki chinti pahad uthane chali hai.
Sunayana: Lagta hai ki ab Vishwamitra bhi hamari hassi udane pe uttar aye haiJo is balak ko dhanush uthane ko keh rahe hai.
Jis dhanush ko itne mahabali raja nahi hila sale, usse yeh pushp
sa komal balak kya uthayega?
Sunayna sister: Honhaar ko kaun jaanta hai didi – hone do jo hota hai.
2
(Ram breaks bow and Seeta garlands him – )
(Bhajan here...)
Parshuram: Kisne toda – mere Shiv bhagwan ka dhanush kisne toda?
Jaldi batao – nahi to main tum sab ko maar dalunga.
Lakshman: Ek danush toot gaya to usme itna krodh karne ki kya baat hai?
October 25, 2014
Page
6 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Humne to bachpan mein aise kayi dhanush tode they - tab to kisi ne
gussa nahi kya tha.
Parshuram: Raja ke chokkre – tanik hosh mein aa ke baat kar.
Yeh woh dhanush hai jisse Bhagwan Shiv ne Tripurari ko maara
tha.
Lakshman: Hoga – hamare liye to sab dhanush barabar hai.
Parshuram: Balak – lagta hai tujhe apne jeevan se moh nahi hai.
Lagta hai tu apni mata ko ni-puti banana chahta hai.
Laskhman: Mujhe moh hai ke nahi – par aapko to bahut moh hai.
Isiliye aap bacho jaise baate kar rahe ho.
Parshuram: Maine to ab tak tujhe balak samaj kar jeevit chod rakha tha
Par ab lagta hai tere marne ka waqt aa gaya hai.
Lakshman: Aur maine aapko Brhamin samajkar – aape haath nahi uthaya
Hamare kul mein Brahmino ki raksha karte hai.
Ram:
Lakshman shaant ho jao.
Hey Munivar – yeh dhanush mere haath se bhang hua hai.
Aap mujhe saja de.
Parshuram: Tum bhi Kuch kam nahi lagte.
Chikni baate karke mujhse bach nahi paaoge.
Ram:
Aapne lagta hai abhi tak mujhe pehchaane nahi.
Mera to chhota sa naam hai ‘Ram’ – magar aapka to Parshu-samet –
Parshuram.
Jaara dhyan kariye Muniraaj.
(Ram smiles divinely –Parshuram recognizes Vishnu – folds hands and pranams).
Janak:
Ram tumhe paakar humto dhyana ho gaye.
Ram:
Aap mujhe jeevan bhar apna putra samaj kar sneh banaye
rakhna.
(Ram touches Janak’s feet)
October 25, 2014
Page
7 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 4 – Kop Bhavan scene
Shruti Agarwal
Abhiram Bukka
Samiya Gupta
Manthra
Dashrath
Kaikeyi
Stage Props: Manthra’s Stick, Jewellery on floor
Narration: After their return from Mithila, there is a wave of happiness in
Ayodhya. Maharaj Dashrath has consulted all and decided to install Sri Ram as
the King. Ayodhya puri is getting ready for Ram Abhishek…
However, there is a different scene happening in RajMahal...Manthra has
poisoned Kaikai’s mind to make her son, Bharat the king of Ayodhya by encashing
the 2 promises that King Dashrath had given to his queen.
Rani Kaikayi asks the kingdom for Bharat and Banwaas for Ram.
Manthra: Aaj Manthra ki zindagi ka sabse khushi bhara din hai.
Mai Rani Kaikayee ko MahaRani bana dun gi.
Ram ki jagah mere Bharat ko saara raj paath mil jaayega….
Aur Pata hai? Aur Pata hai? Aur Pata hai?
Rani Kaikayee to bhool hi gayi thi ke us ke paas Raja Dashrath ke
diye huye do var hai..
Aaj se acha mauka kya hoga..var maangane ka..
Bharat Singhasan par Aur mujhe mileinge khoob ssare zevar
Aur yeh sab daasiyaan mere saamne sir jhukaayeingi
hahahahaha (laughs hysterically..)
Ab mai chali Raja Dashrath ko kope bhawan mein bulaane ….(leaves!)
(Dashrath enters Kop Bhawan, finds Kaikeyi lying on the floor and faces the
audience..)
Dashrath: Kya baat hai Maharani?
Is shubh avsar par aapne yeh kya haal bana rakha hai?
Manthra ne bhi kuch bataya nahin kya baat hai….
Kisi vaidya ko bulaaye?
Kaikeyi:
Nahin Maharaj, mujhe mere haal par chhod de!
Dashrath: Prantu Maharani, jab saare ayodhya mein log harsh mana rahe hai… to
aap ka is kope bhawan mein aane ka koi kaaran to hoga.
App kuch bataye… Aap aaj kuch bhi hum se maang lein.
Hamara sab kuch aap ka hai Kaikeyi
October 25, 2014
Page
8 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Kaikeyi:
To suniye Maharaj..Aap ko yaad hai ke aapne mujhe do var diye the aur
kaha tha ke main kabhi bhi unko maang sakti hun?
Dashrath: Haan yaad hai Maharani..
Kaikeyi:
To Rajan..Mera pehla var ki Ram ki jagah..BHARAT KO AYODHYA KA
RAJA BANAYE
Aur doosra - RAM KO 14 BARAS KA BANWAAS!
Dashrath: RAM KO BANWAAS..?? RAM KO BANWAAS..??
MAHARANI iiiiiiiiiii.
(holds his head between his hands and cries...)
Yeh kya sun raha hun main Maharani..yeh kya sun raha hun.
Hey mere kul devta..maine aisa kya karm kiya jiskaa dand mujhe
mere Ram se bicharne ka mil rahaa hai.
(falls to the ground..)
Ram..Ram..koi mere Ram ko bulaaye..
Kaikeyi:
Maharaj..yeh aapko kya ho gaya. Aisa to nahi ki Rahguvanshi apne
vachan ko bhang karenge ? Apne purkho ki keerti ko maleen
karenge ?
Dasrath:
Mujhe kya pata tha ki jisse maine heeron ka haar samaj ke seene
se lagaya hai woh vastav mein ek nagin hai.
Ram …Ram…(Dashrath faints….)
BACKGROUND SOUND...
Raja Dashrath….tumhe yaad hoga….
Kis tarah tumhaare haathon Sarvan Kumar ka vadh huya tha…
Aur us ke boo-rhe mata pita ne apne putr ke gam me dum tora tha…
Aur tumhe putr Viyog ka shraap diya tha.
Putr Viyog ki ghari aa gayi hai Rajan...
Us shrap ke sach hone waqt aa gaya hai Rajan….aa gayi hai.
October 25, 2014
Page
9 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 5 – Bharat Milaap
Janak
Bharat
Ankit Tumuluri
Devman Gupta
Seeta
Lakshman
Ram
Paarth Garg
Satrughan
Kusha Krishna
Mukund
Chanchlani
Rohit Karthickeyan
Vishwamitra
Sumitra
Kaushalya
Kaikeyi
Love Krishna
Shruti
Agarwal
Shreya
Agarwal
Samiya Gupta
Stage Props: Khadaoo
Bharat goes to Chitrakoot and gives all possible reasons for Ram to accept the
throne even saying that if nothing else please make me the winner simply because
I am your younger brother. Ram states that they must honor the promises made by
their father, to their mother.
In our scene, both brothers have put forth their cases to the elders of the family.
Since the eldest in the family is Raja Janak, the case is put forth for him to decide.
Come lets us see what Raja Janak decides….
Janak:
Ram – Bharat – Tum dono mein mahaan kaun hai – Yeh to shayad
Brahma bhi nahi jaante - Main to tuchh praani hun.
Prem sab dharmo se upper hai. Tumhare prem ki vijay hui Bharat.
Bharat:
Aapne mujhe vijayi ghoshit kiya – main sada aapka rinni rahunga.
Janak:
Prantu Bharat – jo asli prem karte hai – woh mangte nahi – dete hai.
Bharat:
Mere liye kya aagya hai Bhaiya ?
Ram:
Bharat – jo rajya tum mujhe dene aaye ho – main usko sweekar karta
hun. Prantu caudah warsho ke liye – tumhe mere liye is rajya ko
sambhalna hoga.
Bharat:
Bhaiya – mere se itna bada karya nahi ho paayega.
Ram:
Guruji aur sab mantri-gan tumhari sahayata karenge.
Bharat:
Bhaiya – aap mujhe apne charan padooka de dijiye.
Main roj unka aashirwaad lekar hi Rajya karya karoonga.
(Bharat sir pe kadaoo rakh kar – chal padta hai).
3
(Bhajan here…Ram bhakt le chalaa re Ram ki nichani)
October 25, 2014
Page
10 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 6 – Seeta Haran
Ram
Lakshman
Seeta
Paarth Garg
Mumund Chanchlani
Kusha Krishna
Swarn Mrig
Ravan
Teesha Kaw
Saniya Saxena
Stage Props: Lakshman Rekha
Flying over the cottage, Sarupnakha sees Ram and Laxman and is overcome by
their dazzling beauty and charm. She asks Ram to marry her and is Ram tells her
that he is already wed. She then turns to Laxman – who cuts off her nose.
Wounded, she goes to her brother Ravan, who sends troops to take revenge on
Ram and Laxman. When Ram and Laxman kill them all, Ravan decides to take
revenge by kidnapping Seeta and making her his wife.
Ravan ne Marich ko aadesh diya ke wo ek sundar hirni ka bhesh banaye aur Shri
Ram ji ki kuttiya ke pas jaakar khele. Seeta ji ne jab us hirni ko dekha to Sri Ram se
us ko pakar ke lane ki zid ki. Ram Laxman ko aadesh de kar gaye ke who apni
Bhabi ki raksha kare..
(Seeta is sitting in her hut. Laxman is cleaning his bow and arrows. )
Seeta: Prabhu – woh dekhiye – kitna pyara swarn mrig hai – kya aap isse mere liye
pakad ke laa sakte hai?
Ram: Theek hai Site – main abhi le ke aata hun. (Ram goes out)
----------------after a long time-----------Seeta:
Bhaiya Laxman... aapke bhaiya ko gaye bahut der ho gayi.
Ab tak to woh swarn mrig mil jaana chahiye tha
Laxman:
Mata, Bhaiya aate hi honge. Aap chinta na karein.
(background..) Laxman…meri raksha karo.. Laxman Meri Raksha karo…
Seeta:
Bhaiya Laxman.. kya kuch suna aapne..aap ke bhaiya ne aap ko
pukaara hai
Laxman:
Ji Mata..Maine suna hai..lekin Bhaiya Ram jaise balwan purush ko meri
kya avashyakta ho sakti hai..
Seeta:
Nahin Nahin..zaroor kuch baat hai.. aap kripya abhi jaayein aur dekhein
ke aap ke bhaiya ko kya chahiye
October 25, 2014
Page
11 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Laxman:
Seeta:
Laxman:
Seeta:
Prantu Mata, Bhaiya ka aadesh tha ke mai aap ko chorr ke kahin na
jaayun
Bhaiya..Mera aadesh hai ke aap abhi jaayein aur apne bhaiya ke
sahayeta karein
To theek hai…Lekin Mata..mai yeh ek agni raksha rekha kheench raha
hun..kuch bhi ho jaaye..aap is rekha ke baahar na aayein
Theek hai ..aap jaldi se jaayein aur apne bhaiya ki sahayeta karein
(Seeta goes back to her work – Ravan enters as a Bhikshu)
Ravan
Seeta
Ravan
Seeta
Ravan
Seeta
Ravan
Alakh Niranjan… Alakh Niranjan…Bhikshaam Dehi…Bhiksham Dehi.
Mata..kya bhiksha milegi?
Ji Haan Guru Dev, Abhi Aayi (brings something)(Seeta comes forward
to give bhiksha..Ravan tries to cross the line.. but gets shocked and
angry…)
Yeh kya hai.. hum kisi chhall se di huyi bhiksha nahin lete..bhiksha deni
hai to bahar aa kar do
Prantu mai is rekha se bahar nahin aa sakti
To theek hai.. mai abhi apne prakop se tumhe aur tumhaari kutiya ko
jala deta hun..
Nahin Gurudev.. aap ek kshan rukiye…..(crosses the line..)
Ha Ha Ha Ha.. Jai Shankar.. Jai Shankar..
Tu hi us Ghamandi Ram ki Bhraya hai…
Chal mai tujhe apni daasi banayunga…ha ha ha ha
(grabs Seeta and goes around the hall ..as if claiming victory..)
Jai Shankar..Jai Shankar.. Ram ab tum mere saamne ghutne tek doge..
Seeta
Mujhe chorr dijiye.. mai ek sati hun..kripya mujhe chorr de..
Nahin to aaj ke baad koi bhi kisi bhikshu ko bhiksha nahin dega..
Ravan
Chal ghamandi naari…..
(runs off with Seeta…)
Seeta
Hey Mere Prabhu Ram…Bhaiya Laxman.. Meri Raksha Karo
Background…..cries of Seeta.. Prabhu meri raksha karo..(sounds die….)
October 25, 2014
Page
12 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 7 – Seeta ki khoj
Ram
Lakshman
Jataayu
Paarth Garg
Mukund Chanchlani
Aditya Dubey
Stage Props: Jewellery for floor
Narration: Ram and Lakshman look for Seeta in the forest
Ram:
Hey van ke vriksha, aapne kya meri Seeta ko dekha hai? Hey Dharti
Mata, aap ko to meri Seeta ka pata hoga? Hey van ke pranio, meri
Seeta ki khoj mein meri sahayata karo
Lakshman: Hey ambar, hey vayu, hey van vasion, Seeta Ma ki khoj mein hamari
sahayata kijiiye
Jatayu:
Shree Ram - Shree Ram - Shree Ram…….. (8 times)
Lakshman: Bhaiya, aapne suna, koi aapko pukaar raha hai – main jakar dekhta
hoon.
Ram:
Hum bhi saath chalte hain
(They see Jatayu lying on ground)
Ram:
Bandhu! Aap kaun hain?
Jatayu:
Hey Prabhu Ram – main Sampat ka bhai Jatayu hoon. Maine dusht
Ravan ko Seeta Mata ka haran kar Ke le jate dekha hain. Maine use
rokne ka bahut prayas kia – kintu usne meri yeh durgati bana di. Seeta
maata ko lekar who dusht dakshin disha ki or gaya hain. Jay Shri Ram
(Jatayu dies)
Ram:
Lakshman chalo – is punyatma ka dah sanskaar kare.
Lakshman: Jee Bhaiya
(They move on to do cremation)
October 25, 2014
Page
13 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 8 – Bali – Sugreev scene
Bali
Tara
Sugreev
Neel
Shrey
Agarwal
Anushka
Trivedi
Vaibhav
Garg
Som
Srivastava
Hanumaan
Angad
Ram
Anshul
Kumar
Anant
Rathore
Paarth
Garg
Lakshman
Jamwant
Nal
Mukund
Chanchlani
Anudeep
Bheemreddy
Aditya
Dubey
Stage Props: Gadaa at least two
Narration:
Bali and Sugreev scene – is this scene Sugreev meets Ram and asks his help in
fighting Bali – his brother who has kicked him out, taken his wife and kingdom.
Bhagwan Ram kills Bali and returns Sugreev’s kingdom to him.
Hanuman: Maharaj, Sugreev aapki sharan mein aaye hai – inhe sharan dijiye
Prabhu.
Sugreev:
Prabhu – Bali ne laat mar kar mujhe nikaal diya aur meri patni Roma ko
chheen liya hai. Mere saare sathiyon ko bandi bana liya hai. Meri
raksha Karen Prabhu.
Ram:
Is anachar ka dand milega Bali ko. Aap Bali ko yudh ke liye lalkare.
Hum aapki raksha karenge.
Sugreev goes to challenge Bali to a fight…
Sugreev:
Bali baahar nikal – baahar nikal Bali. Tu to chuhe ki tarah bil mein
jaakar chup gaya hai. Aa – mujhse yudh kar – baahar nikal.
Bali:
Tara – lagta hai tumhari bahan Roma ke vidhwa hone ka samay aa
gaya hai.
Tara:
Swami – aap kasht na kare. Sugreev shor macha kar chala jayega.
Bali:
Nahi – main yudh karunga.
Bali and Sugreev fight and Sugreev runs away, having been beaten by Bali…
Ram:
Kaise ho mitra?
Sugreev:
Aap ne achi mitrata nibhayi. Mujhe uksa kar mrityu ke mukh mein bhej
diya. Sara badan toot gaya hai.
October 25, 2014
Page
14 of 22
www.RamLeelaNJ.com
(Ram ke haath lagate hai aur Sugreev theek ho jaate hai)
Hanuman: Prabhu Ram ke sparsh se to mritak bhi jivit ho jaate hai. Yeh to matra
peeda hai.
Ram:
Meri vivashta thi ki aap dono mein bhed karna kathin tha.
Sugreev:
Mere liye kya agya hai Prabhu?
Ram:
Punah lalkaar !
Sugreev goes to challenge Bali to fight again…
Sugreev:
Bahar nikal Bali – Sugreev tujhe yudh le liye lalkaar raha hai – chal
yudh kar.
Bali:
Lagta hai iski mritu isse yaha le aayi hai. Aaj main isko mritu dand
dunga.
Tara:
Maharaj – kumar Angad ne bataya hai Hanuman ji do tapaswiyo ko
Sugreev ke paas lekar aaya hai – who Shri Ram aur Lakshman hai.
Aap naa jaaye – mera man nahi manta.
Bali:
Main kayar nahi hun. Chal yudh kar
Sugreev:
Chal Bali yudh kar
Bali:
Chal
Sugreev:
Chal
Bali and Sugreev fight…Ram kills Bali and goes to him
Bali:
Aaa gaye Ram?
Tumne mujhe chall se maara hai!
Meri hatya ki hai!
Paap aur adharm kiya hai!
Ram:
Apne jeevan kaal main tumne kabhi dharm ko yaad nahi kiya – Putra
vadhu, bhai, mitra, sabh ke saath adharam kiya.
Bali:
Meri atma ne parmatma ko pehchan liya hai.
Mujhe shama kare prabhu Ram…
October 25, 2014
Page
15 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 9 – Jamwant Scene
Jamwant
Nal
Neel
Anushka
Trivedi
Aditya Dubey
Hanumaan
Anshul
Sugreev
Vaibhav Garg
Som
Srivastava
Angad
Anant
Rathore
Vanar
1
Vanar
2
Vanar
3
Konark
Adya
Aryan
Rawat
Stage Props: Gadaa
Jamwant: Hey gyan, gun-nidhaan, bal-shali Hanuman
Sari samasya ka samadhan tum hi ho.
Tum is prakaar maun dhare Kiye kyun baithe ho?
Neel:
Hey maha-bali Hanuman – 400 kos ke vishaal saagar ke paar, Seeta
mata adharmi Ravan ke adheen hai. Saadhan mil gaya hai.
Sidhi tumhare haath hai Bajrang Bali.
Jamwant: Hey tejasvi Hanuman – apne andhar ki shakti ko yaad karo aur sagar
par vijay prapt karo.
Hey taat – ab tum Lanka mein jaakar apne naam ka danka baja do.
4
Neel:
Jago Bajrang Bali!!!!
Nal:
Apni shakti ko yaad karo Bajrang Bali – apni shakti ko yaad karo!!!!
Sugreev:
Jago Bajarangbali. Jago Mahabali Hanuman Jago.
Sansaar mein aisa koi karya nahi jo aap siddh na kar sake
Angad:
Hey Kesri-nandan! Hey sankat-mochar!
Jaago aur hum sab ka uddhaar karo!
All :
Jago Bajrang Bali! Jago – 3 times
Music Starts here …
Hanuman: Jai Sri Ram - Jai Shri Ram
All :
Jai Sri Ram - Jai Shri Ram
Hanuman runs off screen
October 25, 2014
Page
16 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 10 – Lankini scene
Hanumaan
Anshul Kumar
Lankini
Maitreyi Sinha
Narration: Hanuman enters the city of Lanka, sees Lankini guarding the City gate
and decides to make him self tiny in size so he can enter the city, un-noticed.
However, as he is about to enter the gate, Lankini sees him and stops him
Lankini:
Kaun hai tu - jo bina poooche lanka mein ghussa ja raha hai?
Hanuman: Pehle tu bata - tu kaun hai?
Lankini:
Arre machhar - Main swayam lanka hun - mera naam hai Lankini Lanka ki raksha karna mera kaam hai - ab bata tu yaha kya karne aaya
hai
Hanuman: Is nagri ko dekhne ki lalsa mujhe yaha le ayai hai - thodi der mein lot
jaayunga
Lankini:
Main tumhe Yam puri mein abhi bhejti hun
Hanuman: (mukka maar ke) - Jai Sri Ram
Lankini:
Oh – ho - main ek mukke se hi ad-mari ho gayi – chhama kijiye Maharaj
- maine aapko pehchaan liya hai
Hanuman: Kaya pehchaan liya ?
Lankini:
Jab Brahma ji ne Ravan ko var diya tha to mujhe uske vinaash ka chinh
bataya tha aur kaha tha ki jab tu ek vanar ke mukke se ghayal ho jayegi
– to jaan lena ki Lanka ke vinaash ka samay aa gaya hai.
Aap jayiye aur apna kaam pura kijiye – main ab wapis laut ti hun.
Jai Brahama Ji - Jai Brahama Ji
Hanuman: Jai Shri Ram
Hanuman enters the City of Lanka...
October 25, 2014
Page
17 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 11: Ashok Vatika scene
Hanumaan
Anshul Kumar
Guard 1
Seeta
Kusha Krishna
Guard 2
Meghnath
Vaibhav Garg
Guard 3
Aniketh
Bukka
Ankit
Tumuluri
Rohit
Karthickeyan
Guard 4
Anuraag
Bheemreddy
Guard 5
Guard 6
Stage Props: Trees, Fruits, Roap to tie Meghnaath
Narration:
Hanuman is sent to Lanka to look for Seeta. As Hanuman is flying all over the
Golden city of Lanka, he sees the home of Vibhishan – the younger brother of
Ravana.
Hanuman also finds Mata Seeta in Ashok Vatika and not wanting to alarm her by
his appearance, he hides behind a tree, until he can conviNce her that he has been
infact sent by Lord Rama
Hanuman: Pranaam Mata – Mai Shri Ram ka sewak Hanuman hun.
Aapke liye Shri Ram ka sandesh le kar aaya hun.
Seeta:
Kya yeh koi nayi mayavi shakti hai ?
Main kaise vishwaas karu ki tum kaun ho ?
Hanuman: Mata – mai nishani ke liye Shri Ram ki angoothi le kar aaya hun.
Seeta:
Hanuman - mujhe vishwas aa gaya hai ki tumhe Shri Ram ne bheja hai.
Parantu woh khud kyun nahi aye mujhe lene ke liye?
Hanuman: Mata – yadi unhe pata hota to woh avashya aate.
Yeh to mera sobhagya hai ki mujhe aapke darshan huay hai.
Ab Shri Ram aapko lene sheegra aayenge.
Mata – mujhe badi bhookh lagi hai – agar aapki agya ho to main Ashok
Vatika se kuch phal le lu ?
Seeta:
Ha Beta….Agya hai.
Hanuman eats and destroys the entire Ashok Vatika.
(Hanuman throws the fruit to the audience and yells – Jai Sri Ram…aap bhi khao).
(Meghnath enters)
October 25, 2014
Page
18 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Hanuman: Jai Shri Ram
Meghnath: Jai Lankesh – kya tumhi ne Ashok vatika mein itna udham machaa
rakha hai?
Hanuman: Udham to tumhare sainiko ne macha rakha tha – main to kewal apni
bhookh mitane yaha aaya hun
Meghnath: Bhookhe they to bikshaa mangne aate – chori nahi karte.
Lanka mein chori karne ka dand milta hai.
Hanuman: Main to samajhta that ki jis nagri ka raja hi chor ho – waha par chori
karne ka dand nahi – inaam milta hoga.
Agar yaha chori ka dand milta hai to pehle tumhare pita ko dand milna
chahiye jo chori se ek abla ko utha laaya hai.
Meghnath: Maharaja Ravan ke khilaaf bolne wale, tumhare jeevan ka ant aa gaya
hai.
Hanuman: Meghnath – mrityu to tumhari nischit hai.
Meghnath: Le chalo is vanar ko Maharaj ke darbaar mein
Hanuman: (Haath jodd ke aur Prabhu Ram ko yaad karke) Jai Shri Ram
October 25, 2014
Page
19 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 12: Angad Scene
Angad
Ravan
Meghnath
Anant
Rathore
Saniya
Saxena
Vaibhav
Garg
Guard 1
Guard 2
Guard 3
Aniketh
Bukka
Ankit
Tumuluri
Rohit
Karthickeyan
Guard 4
Guard 5
Guard 6
Stage Props: Gadaa, 2 Chairs
Narration:
Ram decides to give Ravan one more chance to seek forgiveness by returning
Seeta unharmed and by surrendering himself to Ram. In order to do this, Ram
decides to send another messenger – a Shanti-doot – to Ravan and to give him
one last chance before the destruction of the demon race and Lanka begins. They
all decide to send Angad – the son of Bali to Ravan’s Lanka.
Angad goes before Ravan and delivers his message. Ravan and his darbaris laugh
and make fun of Angad. Ravan even tries to bring Angad to his own side saying
that Ram killed your father Bali and that Ravan can help him become king again by
killing Ravan. After a lot of heated discussions, In a fit of anger, Angad plants his
foot on the ground and says that if anyone of your people can dislodge his foot, on
behalf of Ram, he will concede defeat
Angad:
Jai Siya Ram! Main Maharaja Ram ka shantidoot ban kar aaya hun.
Aap ke liye Shri Ram ka sandesh le kar aaya hun.
Ravan:
Ha – ha – ha! Kya sandesh le ke aye ho us banwasi ka?
Angad:
Ram Prabhu ne sandesh bhijwaya hai ki agar tum Seeta Mata ko
sammaan sahit lota do, aur unki sharan mein aa jao – to rakshas kul ka
vinaash bach sakta hai. Woh aap ko chhama kar denge.
Ravan:
Wah – kya baat hai!
Ram yudh se pehle hi shanti ki bheekh maang raha hai. Abhi to usne
mere Chandrahaas ki chamak bhi nahi dekhi. Abhi to usne meri bhujao
ka bal bhi nahi dekha.
(everyone laughs – Angad gets angry)
October 25, 2014
Page
20 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Angad:
Murkh Ravan – tu baar baar apna naam liye ja raha hai – akhir yeh to
bata ki tu kaun sa Ravan hai – woh jise mere pita Bali ne apni phoonch
mein baandh liya tha – ya woh jise unhone apni baju ke neeche daba
liya tha – ya woh jise patal lok mein bacho ne pakad kar bahut mara tha
– tu kaun sa Ravan hai?
Ravan:
Angad – tu yeh to bata ki tumhari sena mein koi aisa yoddha bhi hai
jisse mujhe yuddh karke anand bhi ayega – ya phir saare baate hi
karne wale hai?
Angad:
Nahi Ravan – hamari sena mein aisa koi bhi nahi jise tumse yudh karke
anand aye – akhir tere jaise neech aur paapi se yudh karke kiski kirti
badd sakti hai?
Isko pakad ke iska sir kaat do aur hamari shakti ka prichay do!
Ravan:
(4 guards try to catch Angad – but he throws them back at Ravan)
Angad:
Yeh bechare mujhko tumhari shakti kya dikhayenge – main tumhe apni
shakti khudh dikhata hun – main apna pair prithvi par tika deta hun –
agar tumhari sena mein koi bhi aisa veer ho – jo mere pair ko hila sake
– to main Shri Ram ki aur se vachan deta hun – ki hum apni haar
swikaar kar lenge aur laut jayenge!
(Angad plants his foot on the ground – one by one all kings come and try to shake it
unsuccesfully- then Meghnath tries – unsuccessfully – then Ravan gets up and
come down – as soon as he bends down and tries to touch Angad’s foot, Angad
pulls his foot back and Ravan falls down on the ground)
Angad:
Arre murkh Ravan – mere pair kyun pakarta hai – yeh chunauti to sirf
tere yoddhao ke liye thi – agar tune pair pakadne hi hai to jaake Shri
Ram ke pair pakad – jahan par teri mukti ka dwar hai.
Angad leaves Ravan and returns to Ram
October 25, 2014
Page
21 of 22
www.RamLeelaNJ.com
Scene 13: Ravan Vadh
Ram
Lakshman
Hanumaan
Angad
Paarth
Garg
Mukund
Chanchlani
Anshul
Kumar
Anant
Rathore
Sugreev
Vibhishan
Vaibhav
Garg
Anuraag
Bheemreddy
Guard
1
Guard
2
Vanar
Aniketh
Bukka
Ankit
Tumuluri
Ravan
Saniya
Saxena
Guard
3
Vanar
1
Vanar
2
Rohit
Karthickeyan
Konark Adya
Aryan Rawat
Stage Props:
Narration:
And now, the ending scene of our Ramayan – Ravan Vadh.
This vijay symbolizes the triumph of Good over Evil. Ram having killed Ravan, and
established Vibhishan as the king of Lanka, returns to Ayodhya
Ravan:
Naye naye rath par chadd kar itna kyun itra rahe ho.
Ravan ke samne aye ho to sar jhuka kar aao.
Ram:
Tum agar pehle sir jhuka ke aaye hote to bach sakte they.
Parantu ab tera sheesh katna hi padega.
Ravan:
Arre tapasvi – abhi tak tumne jitne yoddhao ko maara hai
Main unke samaan nahi hun.
Mera naam Ravan hai – Ravan !
Mujhe unn sabka badala lena hai.
Ram:
Neech – nisahaye istrión par veerta dikhane wale kayyar –
Tu kis baat pe apne ko veer kehta hai?
Main aaj tujhe saja de kar rahunga.
(Yudh )
Vibhishan: Prabhu, Ravan ki jaan uski naabhi main hai.
Waha par teer chala ke is dharti ka kalyan karen.
Ram prays to Almighty – shoots arrow and kills Ravan
October 25, 2014
Page
22 of 22
www.RamLeelaNJ.com