URDU PAR SITAM DHA KAR... Ekkis baras guzare aazadi e kamil

URDU PAR SITAM DHA KAR...
Ekkis baras guzare aazadi e kamil ko,
Tab jake kahin hamko Galib ka khayal aaya.
Turbat hai kahan usaki,maskan tha kahan usaka,
Ab apane sukhan parwar zahnon mein sawal aaya.
Sau sal se jo turbat chadar ko tarasti thi,
Ab usapar aqidat ke phulon ki numaish hai.
Urdu ke talluk se kuchh bhed nahi khulta,
Yah jashn ye hangama,khidmat hai ke sajish hai.
Jin shaharon mein gunji thi Galib ki nava barason,
Un shaharon mein ab urdu, be namon nisha thahari.
Azadi e kamil ka aylan huwa jis din,
Matoob juban thahari,gaddar juban thahari.
Jis ahade siyasat ne ye zinda juban kuchali,us ahade siyasat ko,
Marhoomon ka gam kiw hai.Galib jise kahate hai,urdu hi ka shayar tha,
Urdu pe sitam dha kar Galib pe karam kiw hai.
Ye jashn ye hangamen,dil chasp khilaune hain,
Kuchh logon ki koshish hai kuchh loag bahal jaye.
Jo wada e farad par ab tal nahi sakate hain,
Mumkin hai ki kuchh arasa is jashn par tal jaye.
Yah jashn Mubarak ho,par yah bhi sadakat hai,
Ham loag haqikat ke ehasas se aari hain.
Gandhi ho ke Galib ho,insaf ki nazaron mein,
Ham dono ke qatil hain,dono ke pujari hai.
SAHIR LUDHAYANWI 1969